Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maslaKH-e-ishq mein khinchti hai KHush-iqbaal ki khaal

Mushafi Ghulam Hamdani

maslaKH-e-ishq mein khinchti hai KHush-iqbaal ki khaal

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    maslaḳh-e-ishq meñ khiñchtī hai ḳhush-iqbāl khaal

    bheḌ bakrī se hai kam-qadr bad-a.amāl khaal

    jis bose ke tasavvur se chhile gaal khaal

    taab kyā laave araq poñchhte rumāl khaal

    naqsh us bhī kiyā daur-e-falak ne bātil

    thī jo kaave ke alam se bañdhī iqbāl khaal

    nahīñ qassāb-e-ajal se koī be-ġham hargiz

    postīñ chhīne ye mun.im to kañgāl khaal

    tan-dahī jab na kareñ kaam meñ ustād ke ye

    qumchiyoñ se na udheḌe vo phir atfāl khaal

    band ruumī hai samor us ke pa kaam āñ-rozoñ

    dekhne meñ kabhī aa.ī na thī is jaal khaal

    bad-gumānī na ho kyuuñ tab ke ga.e par afzūñ

    dekh ukhḌe lab-e-ma.ashūq ke tabḳhāl khaal

    mālik-ul-mulk nasārā hue kalkatte ke

    ye to niklī ajab ik vaz.a janjāl khaal

    jhurriyāñ kyuuñ na paḌeñ umr-e-fuzūñ meñ muñh par

    tan pe jab laa.e shikan pīr-e-kuhan-sāl khaal

    shams-tabrez ne murde ko kiyā thā zinda

    shar.a ne khīñchī abas aise ḳhush-a.amāl khaal

    kaam az-bas-ki zamāne huā hai bar-aks

    chor khiñchvā.e hai is ahd meñ kotvāl khaal

    nafas-e-garm se letā hai vo iksīr banā

    dhoñknī dam hai shā.er ke zar-o-māl khaal

    itne be-kār nahīñ jānvar-e-ābī bhī

    dastānoñ ke to kaam aatī hai ghaḌiyāl khaal

    fikr meñ mū-e-kamar tire hairān rahe

    vahī daqqāq jo khīñche hai sadā baal khaal

    itnā maqdūr mujhe diijo ai mehdī-e-dīñ

    maare koḌoñ ke uḌā duuñ ḳhar-e-dajjāl khaal

    dāġh-e-dil chhin gayā yuuñ sozan-e-mizhgāñ se tirī

    jis tarah hove mushabbak kisī ġhirbāl khaal

    nahīñ be-vaj.h giraftārī-e-darvesh is meñ

    aahū o sher hotī hai ajab haal khaal

    jis ke har daane se ik qatra-e-ḳhūñ Tapke hai

    hai mañDhī myaan pe qātil ke ajab haal khaal

    tan ko piirī meñ riyāzat se dabāġhī kar duuñ

    'mus.hafī' charse charsā hai ye aur khaal khaal

    maslaKH-e-ishq mein khinchti hai KHush-iqbaal ki khaal

    bheD bakri se hai kam-qadr bad-amal ki khaal

    jis ki bose ke tasawwur se chhile gal ki khaal

    tab kya lawe araq ponchhte rumal ki khaal

    naqsh us ka bhi kiya daur-e-falak ne baatil

    thi jo kawe ke alam se bandhi iqbaal ki khaal

    nahin qassab-e-ajal se koi be-gham hargiz

    postin chhine ye munim ki to kangal ki khaal

    tan-dahi jab na karen kaam mein ustad ke ye

    qumchiyon se na udheDe wo phir atfal ki khaal

    band rumi hai samor us ke pa kaam aan-rozon

    dekhne mein kabhi aai na thi is jal ki khaal

    bad-gumani na ho kyun tab ke gae par afzun

    dekh ukhDe lab-e-mashuq ke tabKHal ki khaal

    malik-ul-mulk nasara hue kalkatte ke

    ye to nikli ajab ek waza ki janjal ki khaal

    jhurriyan kyun na paDen umr-e-fuzun mein munh par

    tan pe jab lae shikan pir-e-kuhan-sal ki khaal

    shams-tabrez ne murde ko kiya tha zinda

    shara ne khinchi abas aise KHush-amal ki khaal

    kaam az-bas-ki zamane ka hua hai bar-aks

    chor khinchwae hai is ahd mein kotwal ki khaal

    nafas-e-garm se leta hai wo iksir bana

    dhonkni dam ki hai shaer ke zar-o-mal ki khaal

    itne be-kar nahin jaanwar-e-abi bhi

    dastanon ke to kaam aati hai ghaDiyal ki khaal

    fikr mein mu-e-kamar ki tere hairan rahe

    wahi daqqaq jo khinche hai sada baal ki khaal

    itna maqdur mujhe dijo tu ai mehdi-e-din

    mare koDon ke uDa dun KHar-e-dajjal ki khaal

    dagh-e-dil chhin gaya yun sozan-e-mizhgan se teri

    jis tarah howe mushabbak kisi ghirbaal ki khaal

    nahin be-wajh giraftari-e-darwesh is mein

    aahu o sher ki hoti hai ajab haal ki khaal

    jis ke har dane se ek qatra-e-KHun Tapke hai

    hai manDhi myan pe qatil ke ajab haal ki khaal

    tan ko piri mein riyazat se dabaghi kar dun

    'mushafi' charse ka charsa hai ye aur khaal ki khaal

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 42)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now