Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masrufiyat usi ki hai fursat usi ki hai

Rehana Roohi

masrufiyat usi ki hai fursat usi ki hai

Rehana Roohi

MORE BYRehana Roohi

    masrūfiyat usī hai fursat usī hai

    is sarzamīn-e-dil pe hukūmat usī hai

    miltā hai vo bhī tark-e-ta.alluq ke bāvajūd

    maiñ kyā karūñ ki mujh ko bhī aadat usī hai

    jo umr us ke saath guzārī usī thī

    baaqī jo bach ga.ī hai masāfat usī hai

    hotā hai har kisī pe usī gumāñ mujhe

    lagtā hai har kisī meñ shabāhat usī hai

    likkhūñ to us ke ishq ko likhnā hai shā.irī

    sochūñ to ye suḳhan bhī ināyat usī hai

    dar-e-āstāñ koī ho ba-zāhir sar-e-sujūd

    lekin pas-e-sujūd ibādat usī hai

    vo jis ke haq meñ jhūTī gavāhī bhī maiñ ne

    'rūhī' mire ḳhilāf shahādat usī hai

    masrufiyat usi ki hai fursat usi ki hai

    is sarzamin-e-dil pe hukumat usi ki hai

    milta hai wo bhi tark-e-talluq ke bawajud

    main kya karun ki mujh ko bhi aadat usi ki hai

    jo umr us ke sath guzari usi ki thi

    baqi jo bach gai hai masafat usi ki hai

    hota hai har kisi pe usi ka guman mujhe

    lagta hai har kisi mein shabahat usi ki hai

    likkhun to us ke ishq ko likhna hai shairi

    sochun to ye suKHan bhi inayat usi ki hai

    dar-e-astan koi ho ba-zahir sar-e-sujud

    lekin pas-e-sujud ibaadat usi ki hai

    wo jis ke haq mein jhuTi gawahi bhi main ne di

    'ruhi' mere KHilaf shahadat usi ki hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now