mast hun mast hun KHarab KHarab

Daud Aurangabadi

mast hun mast hun KHarab KHarab

Daud Aurangabadi

MORE BYDaud Aurangabadi

  mast huuñ mast huuñ ḳharāb ḳharāb

  sāqiyā sāqiyā sharāb sharāb

  ātish-e-ishq suuñ tirī jal jal

  dil huā dil huā kabāb kabāb

  duur mukh suuñ araq na kar gul-rū

  de mujhe de mujhe gulāb gulāb

  kah apas chashm-e-bā-hayā kuuñ sanam

  raf.a kar raf.a kar hijāb hijāb

  dekh chhuptā hai abr meñ ḳhurshīd

  duur kar duur kar naqāb naqāb

  muntazir dil hai yaar ke ḳhat

  qāsid aa qāsid aa shitāb shitāb

  sheva-e-gul-ruḳhāñ hai ai 'dā.ūd'

  ġhamza o ġhamza o itaab itaab

  mast hun mast hun KHarab KHarab

  saqiya saqiya sharab sharab

  aatish-e-ishq sun teri jal jal

  dil hua dil hua kabab kabab

  dur mukh sun araq na kar gul-ru

  de mujhe de mujhe gulab gulab

  kah apas chashm-e-ba-haya kun sanam

  rafa kar rafa kar hijab hijab

  dekh chhupta hai abr mein KHurshid

  dur kar dur kar naqab naqab

  muntazir dil hai yar ke KHat ka

  qasid aa qasid aa shitab shitab

  shewa-e-gul-ruKHan hai ai 'daud'

  ghamza o ghamza o itab itab

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY