Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane

Khushi Mohammad Naazir

mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane

Khushi Mohammad Naazir

MORE BYKhushi Mohammad Naazir

    mast-o-be-ḳhud tere mai-ḳhāne bām-o-dar bane

    sāqiyā gar terī chashm-e-mast sāġhar bane

    hirs ke sahrā meñ jo jhoñkā chale sar sar bane

    ishq ke dariyā meñ jo qatra gire gauhar bane

    but bane ka.aba banā masjid banī mandar bane

    ishq duniyā meñ kyā kyā dilrubā manzar bane

    dars-e-ibrat daur-e-daurāñ meñ hai bazm-e-mai-kada

    mai-kashoñ ḳhaak se kyā kyā ḳhum-o-sāġhar bane

    kyā ajab is ḳhāk-dāñ ke hoñ kabhī chashm-o-charāg

    ke auj-e-āsmāñ par jo mah-o-aḳhtar bane

    be-e-gudāz-e-ishq rañg-e-husn bhī khultā nahīñ

    ishq ke sāñche meñ Dhal kar nuur paikar bane

    dil ke vīrāne meñ kyā kyā hasrateñ ābād haiñ

    raah meñ sail-e-fanā kaise kaise ghar bane

    ai shah-e-kaunain dar par ġhair ke jhuktā nahīñ

    tere sañg-e-āstāñ ke vāste jo sar bane

    phir bahār aa.ī chaman meñ phir uThā josh-e-junūñ

    phir sar-e-shorīda ḳhātir na.e patthar bane

    fasl-e-gul hai bāġhbāñ ab ruḳhsat-e-parvāz hai

    ab to tinke āshiyāñ ke mere bāl-o-par bane

    banda-e-'nāzir' bhī hāzir tere mai-ḳhvāroñ meñ ho

    ai shah-e-laulāk jab sāqī-e-kausar bane

    mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane

    saqiya gar teri chashm-e-mast ka saghar bane

    hirs ke sahra mein jo jhonka chale sar sar bane

    ishq ke dariya mein jo qatra gire gauhar bane

    but bane kaba bana masjid bani mandar bane

    ishq ki duniya mein kya kya dilruba manzar bane

    dars-e-ibrat daur-e-dauran mein hai bazm-e-mai-kada

    mai-kashon ki KHak se kya kya KHum-o-saghar bane

    kya ajab is KHak-dan ke hon kabhi chashm-o-charag

    ja ke auj-e-asman par jo mah-o-aKHtar bane

    be-e-gudaz-e-ishq rang-e-husn bhi khulta nahin

    ishq ke sanche mein Dhal kar nur ka paikar bane

    dil ke virane mein kya kya hasraten aabaad hain

    rah mein sail-e-fana ki kaise kaise ghar bane

    ai shah-e-kaunain dar par ghair ke jhukta nahin

    tere sang-e-astan ke waste jo sar bane

    phir bahaar aai chaman mein phir uTha josh-e-junun

    phir sar-e-shorida ki KHatir nae patthar bane

    fasl-e-gul hai baghban ab ruKHsat-e-parwaz hai

    ab to tinke aashiyan ke mere baal-o-par bane

    banda-e-'nazir' bhi hazir tere mai-KHwaron mein ho

    ai shah-e-laulak jab tu saqi-e-kausar bane

    Source:

    Naghma-e-Firdaus (Pg. 173)

    • Author: Khushi Mohammad Naazir
      • Publisher: Munshi Mohammad Abdullah
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now