Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai

Sher Afzal Jafri

masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai

Sher Afzal Jafri

MORE BYSher Afzal Jafri

    mastī azal shahpar-e-jibrīl ho ga.ī

    merī bayāz partav-e-injīl ho ga.ī

    dil gudāz aah tāsīr dekh kar

    patthar zaat kaañp ke tahlīl ho ga.ī

    har lafz kañkarī tarah ġhair par girā

    apnī duā falak pe abābīl ho ga.ī

    fir.aun-e-be-karam jo huā mā.il-e-sitam

    naddī mire lahū vahīñ niil ho ga.ī

    jaanā thā zūd-tar mujhe maidān-e-hashr meñ

    shaġhl-e-hādsāt meñ Dhiil ho ga.ī

    masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai

    meri bayaz partaw-e-injil ho gai

    dil ka gudaz aah ki tasir dekh kar

    patthar ki zat kanp ke tahlil ho gai

    har lafz kankari ki tarah ghair par gira

    apni dua falak pe ababil ho gai

    firaun-e-be-karam jo hua mail-e-sitam

    naddi mere lahu ki wahin nil ho gai

    jaana tha zud-tar mujhe maidan-e-hashr mein

    ya shaghl-e-hadsat mein hi Dhil ho gai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 341)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now