Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat fikr-e-mudawa kar ai dast-e-masihai

Aah Sambhali

mat fikr-e-mudawa kar ai dast-e-masihai

Aah Sambhali

MORE BYAah Sambhali

    mat fikr-e-mudāvā kar ai dast-e-masīhā.ī

    dariyāoñ se gahrī hai is zaḳhm gahrā.ī

    ik manzil-e-hijrat meñ jab yaad tirī aa.ī

    rangoñ ko churā laa.ī ḳhushbū ko uḌā laa.ī

    har chehra parāyā hai har aañkh meñ nafrat hai

    jā.egī kahāñ le kar ai sharm-e-shanāsā.ī

    ye kaisā saverā thā kis dard sūraj thā

    har raushnī zulmat dahlīz pe le aa.ī

    jab hijr muqaddar hai milne nahīñ degā

    sūraj to yaktā.ī meñ chāñd tanhā.ī

    ab tum ko bhī honā hai ojhal mirī nazroñ se

    detī hai sadā mujh ko vo manzil-e-rusvā.ī

    mat fikr-e-mudawa kar ai dast-e-masihai

    dariyaon se gahri hai is zaKHm ki gahrai

    ek manzil-e-hijrat mein jab yaad teri aai

    rangon ko chura lai KHushbu ko uDa lai

    har chehra paraya hai har aankh mein nafrat hai

    jaegi kahan le kar ai sharm-e-shanasai

    ye kaisa sawera tha kis dard ka suraj tha

    har raushni zulmat ki dahliz pe le aai

    jab hijr muqaddar hai milne hi nahin dega

    suraj ki to yaktai mein chand ki tanhai

    ab tum ko bhi hona hai ojhal meri nazron se

    deti hai sada mujh ko wo manzil-e-ruswai

    Source:

    Bheege Mausamon Ki Mahak (Pg. 119)

    • Author: Aah Sambhali
      • Publisher: Aah Sambhali
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now