Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat sag-e-yar se dawa-e-musawat karo

Meer Taqi Meer

mat sag-e-yar se dawa-e-musawat karo

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mat sag-e-yār se dā'vā-e-musāvāt karo

    us kane baiThne paao to mabāhāt karo

    sohbat āḳhir hai hamārī na karo phir afsos

    muttasil ho sake to ham se mulāqāt karo

    dīdanī hai ye havā shaiḳh se koī kahe

    ki chalo mai-kade Tuk tum to karāmāt karo

    tum to tasvīr hue dekh ke kuchh ā.īna

    itnī chup bhī nahīñ hai ḳhuub koī baat karo

    bas bahut vaqt kiyā sher ke fan meñ zaa.e.a

    'mīr' ab piir hue tark-e-ḳhayālāt karo

    mat sag-e-yar se da'wa-e-musawat karo

    us kane baiThne pao to mabahat karo

    sohbat aaKHir hai hamari na karo phir afsos

    muttasil ho sake to hum se mulaqat karo

    didani hai ye hawa shaiKH ji se koi kahe

    ki chalo mai-kade Tuk tum to karamat karo

    tum to taswir hue dekh ke kuchh aaina

    itni chup bhi nahin hai KHub koi baat karo

    bas bahut waqt kiya sher ke fan mein zaea

    'mir' ab pir hue tark-e-KHayalat karo

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0927

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now