mata’-e-jism-o-jaan kis ke liye hai
matā’-e-jism-o-jāñ kis ke liye hai
ye miTTī ye dhuāñ kis ke liye hai
vo merī zindagī kis ke liye thī
ye merī dāstāñ kis ke liye hai
hamīñ is kaam par māmūr kyoñ haiñ
ye sa'y-e-rā.egāñ kis ke liye hai
agar lā-hāsilī hai is kā hāsil
to ye kār-e-jahāñ kis ke liye hai
nahīñ koī agar dāman-kash-e-dil
to ye dariyā ravāñ kis ke liye hai
havā kyā DhūñDhtī phirtī hai 'ġhā.er'
ye āvāra yahāñ kis ke liye hai
mata’-e-jism-o-jaan kis ke liye hai
ye miTTi ye dhuan kis ke liye hai
wo meri zindagi kis ke liye thi
ye meri dastan kis ke liye hai
hamin is kaam par mamur kyon hain
ye sa'y-e-raegan kis ke liye hai
agar la-hasili hai is ka hasil
to ye kar-e-jahan kis ke liye hai
nahin koi agar daman-kash-e-dil
to ye dariya rawan kis ke liye hai
hawa kya DhunDhti phirti hai 'ghaer'
ye aawara yahan kis ke liye hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 89)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.