Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae

Sheen Kaaf Nizam

mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae

Sheen Kaaf Nizam

MORE BYSheen Kaaf Nizam

    mauj-e-havā se phūloñ ke chehre utar ga.e

    gil ho ga.e charāġh gharauñde bikhar ga.e

    peḌoñ ko chhoḌ kar jo uḌe un zikr kyā

    paale hue bhī ġhair chhat par utar ga.e

    yādoñ rut ke aate sab ho ga.e hare

    ham to samajh rahe the sabhī zaḳhm bhar ga.e

    ham rahe haiñ TūTte rishtoñ ko joḌne

    dīvār-o-dar fikr meñ kuchh log ghir ga.e

    chalte huoñ ko raah meñ kyā yaad aa gayā

    kis talab meñ qāfile vaale Thahar ga.e

    jo ho sake to ab ke bhī sāgar ko lauT aa

    sāhil ke siip svاatī būñdoñ se bhar ga.e

    ik ek se ye pūchhte phirte haiñ ab 'nizām'

    vo ḳhvāb kyā hue vo manāzir kidhar ga.e

    mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae

    gil ho gae charagh gharaunde bikhar gae

    peDon ko chhoD kar jo uDe un ka zikr kya

    pale hue bhi ghair ki chhat par utar gae

    yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare

    hum to samajh rahe the sabhi zaKHm bhar gae

    hum ja rahe hain TuTte rishton ko joDne

    diwar-o-dar ki fikr mein kuchh log ghir gae

    chalte huon ko rah mein kya yaad aa gaya

    kis ki talab mein qafile wale Thahar gae

    jo ho sake to ab ke bhi sagar ko lauT aa

    sahil ke sip swاati ki bundon se bhar gae

    ek ek se ye puchhte phirte hain ab 'nizam'

    wo KHwab kya hue wo manazir kidhar gae

    Source:

    Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 87)

    • Author: Sheen Kaaf Nizam
      • Edition: 2010
      • Publisher: Vagdevi Publication
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now