Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye

Shakeb Jalali

mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    mauj-e-sabā ravāñ huī raqs-e-junūñ bhī chāhiye

    ḳhema-e-gul ke paas dajla-e-ḳhūñ bhī chāhiye

    kashmakash-e-hayāt hai sāda-diloñ baat hai

    ḳhvāhish-e-marg bhī nahīñ zahr-e-sukūñ bhī chāhiye

    zarb-e-ḳhayāl se kahāñ TuuT sakeñgī beḌiyāñ

    fikr-e-chaman ke ham-rikāb josh-e-junūñ bhī chāhiye

    naġhma-e-shauq ḳhuub thā ek kamī hai mutriba

    shola-e-lab ḳhair ho soz-e-darūñ bhī chāhiye

    itnā karam to kījiye bujhtā kañval na dījiye

    zaḳhm-e-jigar ke saath dard-e-fuzūñ bhī chāhiye

    dekhiye ham ko ġhaur se pūchhiye ahl-e-jaur se

    rūh-e-jamīl ke liye hāl-e-zabūñ bhī chāhiye

    mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye

    KHema-e-gul ke pas hi dajla-e-KHun bhi chahiye

    kashmakash-e-hayat hai sada-dilon ki baat hai

    KHwahish-e-marg bhi nahin zahr-e-sukun bhi chahiye

    zarb-e-KHayal se kahan TuT sakengi beDiyan

    fikr-e-chaman ke ham-rikab josh-e-junun bhi chahiye

    naghma-e-shauq KHub tha ek kami hai mutriba

    shola-e-lab ki KHair ho soz-e-darun bhi chahiye

    itna karam to kijiye bujhta kanwal na dijiye

    zaKHm-e-jigar ke sath hi dard-e-fuzun bhi chahiye

    dekhiye hum ko ghaur se puchhiye ahl-e-jaur se

    ruh-e-jamil ke liye haal-e-zabun bhi chahiye

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now