mausam-e-bahaaran ki har ada satati hai
mausam-e-bahārāñ kī har adā satātī hai
phuul zaḳhm dete haiñ chāñdnī jalātī hai
kārvāñ se manzil tak kuchh nazar nahīñ aatā
jab kisī musāfir kī aas Tuut jaatī hai
mai-kade meñ rah kar bhī ab sukūñ nahīñ miltā
mai-kade ke bāhar bhī zindagī rulātī hai
barq se gila kaisā āñdhiy.oñ se kyā shikva
āshiyāñ banātā huuñ shāḳh Tuut jaatī hai
anjuman meñ tanhā huuñ ḳhalvatoñ meñ dīvāna
muḳhtalif tarīqoñ se zindagī rulātī hai
koī rāhzan miltā koī ham-safar hotā
rāste kī tanhā.ī fāsle baḌhātī hai
ai 'mushīr' ham bhī the ābrū-e-mai-ḳhāna
aadmī ko majbūrī pārsā banātī hai
mausam-e-bahaaran ki har ada satati hai
phul zaKHm dete hain chandni jalati hai
karwan se manzil tak kuchh nazar nahin aata
jab kisi musafir ki aas Tut jati hai
mai-kade mein rah kar bhi ab sukun nahin milta
mai-kade ke bahar bhi zindagi rulati hai
barq se gila kaisa aandhiyon se kya shikwa
aashiyan banata hun shaKH Tut jati hai
anjuman mein tanha hun KHalwaton mein diwana
muKHtalif tariqon se zindagi rulati hai
koi rahzan milta koi ham-safar hota
raste ki tanhai fasle baDhati hai
ai 'mushir' hum bhi the aabru-e-mai-KHana
aadmi ko majburi parsa banati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.