Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam ka zahr dagh bane kyun libas par

Saleem Shahid

mausam ka zahr dagh bane kyun libas par

Saleem Shahid

MORE BYSaleem Shahid

    mausam zahr daaġh bane kyuuñ libās par

    ye soch kar na baiTh sakā sabz ghaas par

    muddat huī ki tā.ir-e-jāñ sard ho chukā

    uḌte rahe havāoñ meñ kuchh bad-havās par

    sūraj phuul abr ke pattoñ meñ gum rahā

    shab ke shajar saaya rahā mujh udaas par

    vo chukā hai moḌ se āñkheñ haTā bhī le

    bekār hoñT sabt haiñ ḳhālī gilās par

    kaise nasīb ho tirī bātoñ zā.iqa

    aa gayā hai taaza phaloñ miThās par

    behtar hai ḳhud ajnabī ban kar use mileñ

    ilzām aa.e kyuuñ mire sūrat-shanās par

    ehsās bhī na thā ki hai patthar mirā badan

    haañ Dūbnā paḌā hai ubharne aas par

    paanī ko rokiye ki na hoñToñ tak aa sake

    bejā na 'uzr aa.e kahīñ merī pyaas par

    ye kārobār dard phir phailtā gayā

    kholī dukāñ thī zaḳhm-e-hunar asaas par

    'shāhid' hue haiñ dard ke sho'loñ se be-ḳhabar

    chingārī pheñk diije havā meñ kapās par

    mausam ka zahr dagh bane kyun libas par

    ye soch kar na baiTh saka sabz ghas par

    muddat hui ki tair-e-jaan sard ho chuka

    uDte rahe hawaon mein kuchh bad-hawas par

    suraj ka phul abr ke patton mein gum raha

    shab ke shajar ka saya raha mujh udas par

    wo ja chuka hai moD se aankhen haTa bhi le

    bekar honT sabt hain KHali gilas par

    kaise nasib ho teri baaton ka zaiqa

    ji aa gaya hai taza phalon ki miThas par

    behtar hai KHud hi ajnabi ban kar use milen

    ilzam aae kyun mere surat-shanas par

    ehsas bhi na tha ki hai patthar mera badan

    han Dubna paDa hai ubharne ki aas par

    pani ko rokiye ki na honTon tak aa sake

    beja na 'uzr aae kahin meri pyas par

    ye karobar dard ka phir phailta gaya

    kholi dukan thi zaKHm-e-hunar ki asas par

    'shahid' hue hain dard ke sho'lon se be-KHabar

    chingari phenk dije hawa mein kapas par

    Source:

    Subh-e-safar (Pg. 61)

    • Author: Saleem Shahid
      • Edition: 1971
      • Publisher: Ham asr, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now