Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota

Mazhar Imam

mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    mausam ke badalne kuchh andāza bhī hotā

    jab ghar banāyā thā to darvāza bhī hotā

    ham sher-e-namak-rez sunāte sar-e-mahfil

    jo zaḳhm fasurda thā tar-o-tāza bhī hotā

    tum hote to me.arāj-e-ḳhayālāt bhī hotī

    bikhre hue alfāz shīrāza bhī hotā

    jazbāt āñkhoñ meñ chamaktā koī sho.ala

    ehsās ke ruḳhsār pe kuchh ġhāza bhī hotā

    raqqāsa-e-dīroz bhī be-pairahan aatī

    doshīza-e-imkān ḳhamyāza bhī hotā

    mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota

    jab ghar hi banaya tha to darwaza bhi hota

    hum sher-e-namak-rez sunate sar-e-mahfil

    jo zaKHm fasurda tha tar-o-taza bhi hota

    tum hote to mearaj-e-KHayalat bhi hoti

    bikhre hue alfaz ka shiraaza bhi hota

    jazbaat ki aankhon mein chamakta koi shoala

    ehsas ke ruKHsar pe kuchh ghaza bhi hota

    raqqasa-e-diroz bhi be-pairahan aati

    doshiza-e-imkan ka KHamyaza bhi hota

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 70)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now