Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausamon ke dukh ne dariya se rawani chhin li

nazeer Tabassum

mausamon ke dukh ne dariya se rawani chhin li

nazeer Tabassum

MORE BYnazeer Tabassum

    mausamoñ ke dukh ne dariyā se ravānī chhīn

    vaqt ke aaseb ne ham se javānī chhīn

    ham to phir bhī be-hunar the hijratoñ ke ḳhauf ne

    tā.eroñ se ḳhvāhish-e-naql-e-makānī chhīn

    pahle mere gird us ne ḳhauf ke jaale bune

    phir mire sar se ridā-e-āsmānī chhīn

    aa.ine TuuT jaanā ik alāmat hai ki aaj

    zindagī ne ham se apnī har nishānī chhīn

    zehn ke saare darīchoñ ko muqaffal kar diyā

    zabt ne mujh se mirī jādū-bayānī chhīn

    mujh ko jin āñkhoñ ne jiine hunar baḳhshā 'nazīr'

    aaj un āñkhoñ ne mujh se zindagānī chhīn

    mausamon ke dukh ne dariya se rawani chhin li

    waqt ke aaseb ne hum se jawani chhin li

    hum to phir bhi be-hunar the hijraton ke KHauf ne

    taeron se KHwahish-e-naql-e-makani chhin li

    pahle mere gird us ne KHauf ke jale bune

    phir mere sar se rida-e-asmani chhin li

    aaine ka TuT jaana ek alamat hai ki aaj

    zindagi ne hum se apni har nishani chhin li

    zehn ke sare darichon ko muqaffal kar diya

    zabt ne mujh se meri jadu-bayani chhin li

    mujh ko jin aankhon ne jine ka hunar baKHsha 'nazir'

    aaj un aankhon ne mujh se zindagani chhin li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now