Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ka Dar naKHuda kuchh bhi nahin

ruKHsaar Nazimabadi

maut ka Dar naKHuda kuchh bhi nahin

ruKHsaar Nazimabadi

MORE BYruKHsaar Nazimabadi

  maut Dar nāḳhudā kuchh bhī nahīñ

  zindagī mas.ala kuchh bhī nahīñ

  aag paanī aur havā kuchh bhī nahīñ

  sirf miTTī thī banā kuchh bhī nahīñ

  kuchh lahū rañg aur kuchh āb-o-gil

  mujh meñ to ḳhud-sāḳhta kuchh bhī nahīñ

  zindagī is hasīñ pāzeb meñ

  sirf ghuñgrū ke sivā kuchh bhī nahīñ

  diid ḳhvāhish muusā ne vahāñ

  lekin un par bhī khulā kuchh bhī nahīñ

  ho na jab tak hijr mushkil radīf

  vasl to qāfiya kuchh bhī nahīñ

  be-yaqīnī hai yaqīnī kaifiyat

  haath uThe haiñ par duā kuchh bhī nahīñ

  haañ agar maqsūd ho dīdār-e-yār

  tab ḳhalā aur fāsla kuchh bhī nahīñ

  ab zamīñ par maiñ agar maujūd huuñ

  is meñ to merī ḳhatā kuchh bhī nahīñ

  jis tarah 'ruḳhsār' guzrī zindagī

  maut ye marhala kuchh bhī nahīñ

  maut ka Dar naKHuda kuchh bhi nahin

  zindagi ka masala kuchh bhi nahin

  aag pani aur hawa kuchh bhi nahin

  sirf miTTi thi bana kuchh bhi nahin

  kuchh lahu ka rang aur kuchh aab-o-gil

  mujh mein to KHud-saKHta kuchh bhi nahin

  zindagi ki is hasin pazeb mein

  sirf ghungru ke siwa kuchh bhi nahin

  did ki KHwahish ki musa ne wahan

  lekin un par bhi khula kuchh bhi nahin

  ho na jab tak hijr ki mushkil radif

  wasl ka to qafiya kuchh bhi nahin

  be-yaqini hai yaqini kaifiyat

  hath uThe hain par dua kuchh bhi nahin

  han agar maqsud ho didar-e-yar

  tab KHala aur fasla kuchh bhi nahin

  ab zamin par main agar maujud hun

  is mein to meri KHata kuchh bhi nahin

  jis tarah 'ruKHsar' guzri zindagi

  maut ka ye marhala kuchh bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now