Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut se aage soch ke aana phir ji lena

Abdul Ahad Saaz

maut se aage soch ke aana phir ji lena

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    maut se aage soch ke aanā phir lenā

    chhoTī chhoTī bātoñ meñ dilchaspī lenā

    narm nazar se chhūnā manzar saḳhtī ko

    tund havā se chehre shādābī lenā

    jazboñ ke do ghūñT aqīdoñ ke do luqme

    aage soch sahrā hai kuchh khā lenā

    mahñge saste daam hazāroñ naam ye jīvan

    soch samajh kar chiiz koī achchhī lenā

    āvāzoñ ke shahr se baabā kyā milnā hai

    apne apne hisse ḳhāmoshī lenā

    dil par sau rāheñ kholīñ inkār ne jis ke

    'sāz' ab us naam tashakkur se lenā

    maut se aage soch ke aana phir ji lena

    chhoTi chhoTi baaton mein dilchaspi lena

    narm nazar se chhuna manzar ki saKHti ko

    tund hawa se chehre ki shadabi lena

    jazbon ke do ghunT aqidon ke do luqme

    aage soch ka sahra hai kuchh kha pi lena

    mahnge saste dam hazaron nam ye jiwan

    soch samajh kar chiz koi achchhi si lena

    aawazon ke shahr se baba kya milna hai

    apne apne hisse ki KHamoshi lena

    dil par sau rahen kholin inkar ne jis ke

    'saz' ab us ka nam tashakkur se hi lena

    RECITATIONS

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz,

    Abdul Ahad Saaz

    maut se aage soch ke aana phir ji lena Abdul Ahad Saaz

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now