Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut se bad-tar hain jine ki kasak jati nahin

Zaheer Parvez

maut se bad-tar hain jine ki kasak jati nahin

Zaheer Parvez

MORE BYZaheer Parvez

    maut se bad-tar haiñ jiine kasak jaatī nahīñ

    ḳhālī paimāne hue lekin khanak jaatī nahīñ

    har nizām-e-tāza ke ḳhāliq ko laa.e daar tak

    aaj tak duniyā ke logoñ sanak jaatī nahīñ

    raqs kartī hai havā meñ ai mirī vahshat magar

    ashk ban kar kyoñ in āñkhoñ se Tapak jaatī nahīñ

    dostoñ chuTkiyāñ bhī qābil-e-tahsīn haiñ

    zaḳhm bhar jaate haiñ tāsīr-e-namak jaatī nahīñ

    ḳhāka-e-hastī huā be-rang imkāñ kho ga.e

    phir bhī āñkhoñ se umīdoñ dhanak jaatī nahīñ

    yūñhī bār-āvar nahīñ hotā tamanna shajar

    aise chādar tire sar se Dhalak jaatī nahīñ

    maut se bad-tar hain jine ki kasak jati nahin

    KHali paimane hue lekin khanak jati nahin

    har nizam-e-taza ke KHaliq ko lae dar tak

    aaj tak duniya ke logon ki sanak jati nahin

    raqs karti hai hawa mein ai meri wahshat magar

    ashk ban kar kyon in aankhon se Tapak jati nahin

    doston ki chuTkiyan bhi qabil-e-tahsin hain

    zaKHm bhar jate hain tasir-e-namak jati nahin

    KHaka-e-hasti hua be-rang imkan kho gae

    phir bhi aankhon se umidon ki dhanak jati nahin

    yunhi bar-awar nahin hota tamanna ka shajar

    aise hi chadar tere sar se Dhalak jati nahin

    Source:

    Toota Par (Pg. 62)

    • Author: Zaheer Parvez
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now