Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut se dard-e-mohabbat ki dawa mangi hai

Sahir Bhopali

maut se dard-e-mohabbat ki dawa mangi hai

Sahir Bhopali

MORE BYSahir Bhopali

    maut se dard-e-mohabbat davā māñgī hai

    maiñ ne ḳhud apnī ḳhatāoñ sazā māñgī hai

    toḌ mat bahr-e-ḳhudā aas Dil-e-pur-ġham

    maiñ ne zālim tire milne duā māñgī hai

    rahmateñ us tabāhī-e-vafā par jis ne

    marte-marte tire dāman havā māñgī hai

    maiñ ne kuchh aur nahīñ chāhā ḳhudā-e-ġham se

    bas tire husn har ek balā māñgī hai

    apne sar aap na leñ dil-shikanī ilzām

    maiñ ne ḳhud apnī tabāhī duā māñgī hai

    haa.e kyā chiiz hai 'sāhir' ye mirā husn-e-talab

    maiñ ne har chiiz zamāne se judā māñgī hai

    maut se dard-e-mohabbat ki dawa mangi hai

    main ne KHud apni KHataon ki saza mangi hai

    toD mat bahr-e-KHuda aas Dil-e-pur-gham ki

    main ne zalim tere milne ki dua mangi hai

    rahmaten us ki tabahi-e-wafa par jis ne

    marte-marte tere daman ki hawa mangi hai

    main ne kuchh aur nahin chaha KHuda-e-gham se

    bas tere husn ki har ek bala mangi hai

    apne sar aap na len dil-shikani ka ilzam

    main ne KHud apni tabahi ki dua mangi hai

    hae kya chiz hai 'sahir' ye mera husn-e-talab

    main ne har chiz zamane se juda mangi hai

    Source:

    Sada-e-Dil (Pg. 138)

    • Author: Sahir Bhopali
      • Publisher: Hali Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now