maut se gahra dukh bhi sahna hota hai
maut se gahrā dukh bhī sahnā hotā hai
kitnā mushkil zinda rahnā hotā hai
log na jaane kyā kyā kahte rahte haiñ
lekin ham ko she'r hī kahnā hotā hai
gir jaa.e to miTTī meñ mil jaatā hai
aañsū varna aañkh kā gahnā hotā hai
kyā dekhegā jis ne apnī āñkhoñ par
bīnā.ī kā parda pahnā hotā hai
rone vaale har hālat meñ rote haiñ
ashk na ho to aañkh ne bahnā hotā hai
maut se gahra dukh bhi sahna hota hai
kitna mushkil zinda rahna hota hai
log na jaane kya kya kahte rahte hain
lekin hum ko she'r hi kahna hota hai
gir jae to miTTi mein mil jata hai
aansu warna aankh ka gahna hota hai
kya dekhega jis ne apni aankhon par
binai ka parda pahna hota hai
rone wale har haalat mein rote hain
ashk na ho to aankh ne bahna hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.