jine ki KHwahishon mein kai bar mar gae
jine ki KHwahishon mein kai bar mar gae
Murlidhar Sharma Talib
MORE BYMurlidhar Sharma Talib
jiine kī ḳhvāhishoñ meñ ka.ī baar mar ga.e
yuuñ apnī dāstān ke kirdār mar ga.e
kāñTe nikālne meñ hī guzrī hai zindagī
dil meñ liye hī hasrat-e-gulzār mar ga.e
ai zindagī ye terā karishma nahīñ to kyā
ham maut se hī pahle ka.ī baar mar ga.e
mausam ḳhizāñ hī kā thā magar haal ye na thā
kaisī bahār aa.ī ki ashjār mar ga.e
jis kī talāsh kījiye mil jaa.e kyā zarūr
jiine kī justujū meñ ka.ī yaar mar ga.e
sikke ke saath saath jo pagḌī uchhal paḌī
jitne bache the hāmil-e-dastār mar ga.e
'tālib' riyāz-e-fan na ruke varna dekh le
terī tarah se kitne hī fankār mar ga.e
jine ki KHwahishon mein kai bar mar gae
yun apni dastan ke kirdar mar gae
kanTe nikalne mein hi guzri hai zindagi
dil mein liye hi hasrat-e-gulzar mar gae
ai zindagi ye tera karishma nahin to kya
hum maut se hi pahle kai bar mar gae
mausam KHizan hi ka tha magar haal ye na tha
kaisi bahaar aai ki ashjar mar gae
jis ki talash kijiye mil jae kya zarur
jine ki justuju mein kai yar mar gae
sikke ke sath sath jo pagDi uchhal paDi
jitne bache the hamil-e-dastar mar gae
'talib' riyaz-e-fan na ruke warna dekh le
teri tarah se kitne hi fankar mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.