maut Talti hai to dil dukhta hai
maut Taltī hai to dil dukhtā hai
jaañ sañbhaltī hai to dil dukhtā hai
ḳhvāb jhaḌ jaate haiñ pattoñ kī tarah
rut badaltī hai to dil dukhtā hai
ḳhaak hone kā sila ḳhaak nahīñ
sham' jaltī hai to dil dukhtā hai
chal chalāo kī haiñ zad par saare
saañs chaltī hai to dil dukhtā hai
chāñd ik maañd huā jab se 'shahāb'
raat Dhaltī hai to dil dukhtā hai
maut Talti hai to dil dukhta hai
jaan sanbhalti hai to dil dukhta hai
KHwab jhaD jate hain patton ki tarah
rut badalti hai to dil dukhta hai
KHak hone ka sila KHak nahin
sham' jalti hai to dil dukhta hai
chal chalao ki hain zad par sare
sans chalti hai to dil dukhta hai
chand ek mand hua jab se 'shahab'
raat Dhalti hai to dil dukhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.