Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

Marghoob Asar Fatmi

mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

Marghoob Asar Fatmi

MORE BYMarghoob Asar Fatmi

    maz.hab-e-ishq ke irfān pe hairāñ niklā

    qais jab dasht ko niklā to pareshāñ niklā

    shiddat-e-shauq meñ sarmast-o-shādāñ niklā

    ġham-rasīda bhī agar thā to ġhazal-ḳhvāñ niklā

    un se milne tamannā liye Dartā rahā

    dil ye kāfir mirā dar-parda musalmāñ niklā

    shaam aa.ī to lab-e-la.alīñ shoḳhī le kar

    mehr bikhrāte hue la.al-e-badaḳhshāñ niklā

    jab ki parvāz-e-taḳhayyul ne bhī sūrat paalī

    kitnā be-ma.anī ab taḳht-e-sulaimāñ niklā

    jaane kab chupke se āñkhoñ ne dar-e-dil kholā

    aayā ik baar to phir ghar se na mehmāñ niklā

    ḳhvāb achchhe the TuuTe to huā ye ifshā

    jis ko gulzār samajhte the bayābāñ niklā

    qaidī-e-husn sarkār meñ peshī jo huī

    ishq sarshār thā dīdār unvāñ niklā

    dā.ere fikr ke mahdūd hoñ mumkin nahīñ

    kab 'asar' mo'tarif-e-tañgī-e-dāmāñ niklā

    mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

    qais jab dasht ko nikla to pareshan nikla

    shiddat-e-shauq mein sarmast-o-shadan nikla

    gham-rasida bhi agar tha to ghazal-KHwan nikla

    un se milne ki tamanna liye Darta hi raha

    dil ye kafir mera dar-parda musalman nikla

    sham aai to lab-e-lalin ki shoKHi le kar

    mehr bikhraate hue lal-e-badaKHshan nikla

    jab ki parwaz-e-taKHayyul ne bhi surat pali

    kitna be-mani sa ab taKHt-e-sulaiman nikla

    jaane kab chupke se aankhon ne dar-e-dil khola

    aaya ek bar to phir ghar se na mehman nikla

    KHwab hi achchhe the TuTe to hua ye ifsha

    jis ko gulzar samajhte the bayaban nikla

    qaidi-e-husn ki sarkar mein peshi jo hui

    ishq sarshaar tha didar ka unwan nikla

    daere fikr ke mahdud hon mumkin hi nahin

    kab 'asar' mo'tarif-e-tangi-e-daman nikla

    Source:

    Shajare Sayadar (Poetry) (Pg. 87)

    • Author: Marghoob Asar Fatmi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now