Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mear-e-suKHan hun na koi azmat-e-fan hun

Khurshid Ahmad Jami

mear-e-suKHan hun na koi azmat-e-fan hun

Khurshid Ahmad Jami

MORE BYKhurshid Ahmad Jami

    me.ār-e-suḳhan huuñ na koī azmat-e-fan huuñ

    baḌhte hue pathrāv meñ shīshe badan huuñ

    is tarah mujhe dekh rahā hai koī jaise

    maiñ duur ke jalte hue ḳhvāboñ thakan huuñ

    sau baar añdheroñ ne jise qatl kiyā hai

    taḳhlīq ke māthe vahī ek kiran huuñ

    āvāz-e-anal-haq tarah saath tere

    ik umr se ai silsila-e-dār-o-rasan huuñ

    zaḳhmoñ ke jharoke meñ koī sham.a jalā kar

    kahtā hai maiñ kuchh aur nahīñ dard-e-vatan huuñ

    haiñ jis ke liye aaj na.e lafz-o-ma.ānī

    tārīḳh vo nashsha-e-sahbā-e-kuhan huuñ

    sahrā sulagtā huā ehsās huuñ 'jāmī'

    zarroñ tarah dahr meñ bikhrā huā tan huuñ

    mear-e-suKHan hun na koi azmat-e-fan hun

    baDhte hue pathraw mein shishe ka badan hun

    is tarah mujhe dekh raha hai koi jaise

    main dur ke jalte hue KHwabon ki thakan hun

    sau bar andheron ne jise qatl kiya hai

    taKHliq ke mathe ki wahi ek kiran hun

    aawaz-e-anal-haq ki tarah sath hi tere

    ek umr se ai silsila-e-dar-o-rasan hun

    zaKHmon ke jharoke mein koi shama jala kar

    kahta hai main kuchh aur nahin dard-e-watan hun

    hain jis ke liye aaj nae lafz-o-maani

    tariKH ka wo nashsha-e-sahba-e-kuhan hun

    sahra ka sulagta hua ehsas hun 'jami'

    zarron ki tarah dahr mein bikhra hua tan hun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 386)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now