mehaman ghar mein bhare rahe
mehamāñ ghar meñ bhare rahe
din-bhar bistar khule rahe
mere liye kyā hijr-o-visāl
haañ ghar vaale Dare rahe
us ne bhī āvāz na dī
ham bhī aise bane rahe
itnī kaun samajhtā hai
mere dukh hī baḌe rahe
itne saal purāne ḳhvāb
ab tak kaise na.e rahe
chhū to liyā par haath apne
din-bhar DhūñDe paḌe rahe
ik mā'sūm ishāre ke
ghar ghar qisse chhiḌe rahe
mehaman ghar mein bhare rahe
din-bhar bistar khule rahe
mere liye kya hijr-o-visal
han ghar wale Dare rahe
us ne bhi aawaz na di
hum bhi aise bane rahe
itni kaun samajhta hai
mere dukh hi baDe rahe
itne sal purane KHwab
ab tak kaise nae rahe
chhu to liya par hath apne
din-bhar DhunDe paDe rahe
ek ma'sum ishaare ke
ghar ghar qisse chhiDe rahe
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 32)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.