Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mehnat ki jab KHushbu Tapke parchhain muskati hai

Saleem Raza Rewa

mehnat ki jab KHushbu Tapke parchhain muskati hai

Saleem Raza Rewa

MORE BYSaleem Raza Rewa

    mehnat jab ḳhushbū Tapke parchhā.īñ muskātī hai

    thak kar un bāñhoñ meñ tab añgḌā.ī muskātī hai

    un ḳhushbū kar dil añgnā.ī muskātī hai

    un ko chhūne se yādoñ bīnā.ī muskātī hai

    jin ke khulne se duniyā har gulshan ābād huā

    un kaliyoñ ḳhushī sajā kar shahnā.ī muskātī hai

    un ḳhushbū se ḳhushbū hai gulshan ke sab phūloñ meñ

    un ko chhū kar aane vaalī purvā.ī muskātī hai

    yādeñ ghāyal sāñseñ bojhal jiinā hai dushvār mirā

    merī hālat dekh ke ab to tanhā.ī muskātī hai

    mehnat ki jab KHushbu Tapke parchhain muskati hai

    thak kar un ki banhon mein tab angDai muskati hai

    un ki KHushbu pa kar dil ki angnai muskati hai

    un ko chhune se yaadon ki binai muskati hai

    jin ke khulne se duniya ka har gulshan aabaad hua

    un kaliyon ki KHushi saja kar shahnai muskati hai

    un ki KHushbu se KHushbu hai gulshan ke sab phulon mein

    un ko chhu kar aane wali purwai muskati hai

    yaaden ghayal sansen bojhal jina hai dushwar mera

    meri haalat dekh ke ab to tanhai muskati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now