Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mehr jab tak halqa-e-afaq mein aaya na tha

Javed Akhtar Bedi

mehr jab tak halqa-e-afaq mein aaya na tha

Javed Akhtar Bedi

MORE BYJaved Akhtar Bedi

    mehr jab tak halqa-e-āfāq meñ aayā na thā

    tīrgī mo'atabar hogī kabhī sochā na thā

    zindagī ke shahr meñ muda-dilī taqdīr thī

    jo bhī jān-e-bazm thā us koī chehra na thā

    pyaas ko aane lagā thā hukmarānī hunar

    abr TukḌā kisī ko yaad bhī aatā na thā

    is se pahle aisī shiddat to añdhere meñ na thī

    raushnī harf hoñToñ se judā hotā na thā

    din the lekin inqalāb aane se pahle ke the din

    phuul abhī mahkā na thā patthar abhī bolā na thā

    dukh ke sūraj ko savā neze pe 'bedī' dekh kar

    ḳhvāb sukh ke dekhtā thā aadmī andhā na thā

    mehr jab tak halqa-e-afaq mein aaya na tha

    tirgi hi mo'atabar hogi kabhi socha na tha

    zindagi ke shahr mein muda-dili taqdir thi

    jo bhi jaan-e-bazm tha us ka koi chehra na tha

    pyas ko aane laga tha hukmarani ka hunar

    abr ka TukDa kisi ko yaad bhi aata na tha

    is se pahle aisi shiddat to andhere mein na thi

    raushni ka harf honTon se juda hota na tha

    din the lekin inqalab aane se pahle ke the din

    phul abhi mahka na tha patthar abhi bola na tha

    dukh ke suraj ko sawa neze pe 'bedi' dekh kar

    KHwab sukh ke dekhta tha aadmi andha na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now