Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mehr-o-mah-o-anjum ka kuchh nishan nahin milta

Khalilur Rahman Raz

mehr-o-mah-o-anjum ka kuchh nishan nahin milta

Khalilur Rahman Raz

MORE BYKhalilur Rahman Raz

    mehr-o-māh-o-anjum kuchh nishāñ nahīñ miltā

    uḌ rahā huuñ barsoñ se āsmāñ nahīñ miltā

    raushnī imkāñ bhī ab yahāñ nahīñ miltā

    ikkā-dukkā jugnū bhī zau-fishāñ nahīñ miltā

    tan pe saaya karne ko sā.ebāñ to miltā hai

    ruuh ke sulāne ko āshiyāñ nahīñ miltā

    dil raushnī le kar dilbar-e-azal ko maiñ

    DhūñDhtā huuñ muddat se aur nishāñ nahīñ miltā

    mere dil dhaḌkan garche us maskan hai

    DhūñDhtā huuñ jab dil meñ kuchh nishāñ nahīñ miltā

    aarzū meñ phūloñ phir rahā huuñ sahrā meñ

    ret ke musāfir ko gulsitāñ nahīñ miltā

    chūr-chūr rahtā hai har dam aa.ina dil

    bevafā zamāne meñ mehrbāñ nahīñ miltā

    miltā-jultā rahtā hai nā-murād duniyā se

    apne jāñ-nisāroñ se bad-gumāñ nahīñ miltā

    us milnā-julnā hai ġhāyat-o-ġharaz le kar

    banda-e-ġharaz hai vo rā.egāñ nahīñ miltā

    bastiyoñ ke dāman meñ Dher haiñ makānoñ ke

    muztarib tamannā ko lā-makāñ nahīñ miltā

    bastiyoñ ke parbat haiñ qāfile haiñ logoñ ke

    aadmī koī in meñ jān-e-jāñ nahīñ miltā

    aadmī kasrat se aadmī pareshāñ hai

    aadmī is par bhī kuchh nishāñ nahīñ miltā

    jis ke paas yakjā hoñ dīn-o-dānish-o-daulat

    aise mard-e-kāmil āstāñ nahīñ miltā

    dafn ho ga.e kitne aish tamannā meñ

    aish agar milā bhī to jāvedāñ nahīñ miltā

    sach hai dasht-e-imkāñ hai ek dhuñdlā naqsh-e-pā

    naqsh jis se rahrav kuchh nishāñ nahīñ miltā

    ilm-o-fan ke parvāno ye bhī kyā qayāmat hai

    'rāz' ko yahāñ koī rāz-dāñ nahīñ miltā

    mehr-o-mah-o-anjum ka kuchh nishan nahin milta

    uD raha hun barson se aasman nahin milta

    raushni ka imkan bhi ab yahan nahin milta

    ikka-dukka jugnu bhi zau-fishan nahin milta

    tan pe saya karne ko saeban to milta hai

    ruh ke sulane ko aashiyan nahin milta

    dil ki raushni le kar dilbar-e-azal ko main

    DhunDhta hun muddat se aur nishan nahin milta

    mere dil ki dhaDkan hi garche us ka maskan hai

    DhunDhta hun jab dil mein kuchh nishan nahin milta

    aarzu mein phulon ki phir raha hun sahra mein

    ret ke musafir ko gulsitan nahin milta

    chur-chur rahta hai har dam aaina dil ka

    bewafa zamane mein mehrban nahin milta

    milta-julta rahta hai na-murad duniya se

    apne jaan-nisaron se bad-guman nahin milta

    us ka milna-julna hai ghayat-o-gharaz le kar

    banda-e-gharaz hai wo raegan nahin milta

    bastiyon ke daman mein Dher hain makanon ke

    muztarib tamanna ko la-makan nahin milta

    bastiyon ke parbat hain qafile hain logon ke

    aadmi koi in mein jaan-e-jaan nahin milta

    aadmi ki kasrat se aadmi pareshan hai

    aadmi ka is par bhi kuchh nishan nahin milta

    jis ke pas yakja hon din-o-danish-o-daulat

    aise mard-e-kaamil ka aastan nahin milta

    dafn ho gae kitne aish ki tamanna mein

    aish agar mila bhi to jawedan nahin milta

    sach hai dasht-e-imkan hai ek dhundla naqsh-e-pa

    naqsh jis se rahraw ka kuchh nishan nahin milta

    ilm-o-fan ke parwano ye bhi kya qayamat hai

    'raaz' ko yahan koi raaz-dan nahin milta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now