Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat

Nasim Maysori

mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat

Nasim Maysori

MORE BYNasim Maysori

    mehrbāñ mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj raat

    aa mire chāñd ke TukḌe mire ghar aaj raat

    raah bhuul aayā hai ik chāñd idhar aaj raat

    kaisī ghar baiThī hai daulat mire ghar aaj raat

    yaar aayā nahīñ kyuuñ kar ho basar aaj raat

    tā-qayāmat nahīñ hone sahar aaj raat

    aap se aap vo aa.e mire ghar aaj raat

    dīn-o-duniyā nahīñ mujh ko ḳhabar aaj raat

    kyuuñ ḳhafā mujh se hai vo rashk-e-qamar aaj raat

    badlī badlī nazar aatī hai nazar aaj raat

    ai sanam bahr-e-ḳhudā aap laa.eñ tashrīf

    putliyoñ hai tamāshā mire ghar aaj raat

    sādgī hai tirī pariyoñ banāvaT se sivā

    sub.h ho jā.egī itnā na nikhar aaj raat

    zulf suljhāte hue pyaar se vo dekhte haiñ

    kyā maiñ ho jā.ūñgā manzūr-e-nazar aaj raat

    merī gustāḳhī na yaad aa.e ilāhī hargiz

    un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj raat

    maañg motī se bharī hai na chaḌho koThe par

    tum ko lag jā.egī tāroñ nazar aaj raat

    lailatul-qadr hai ye shab-e-me.arāj hai ye

    yaar ke zaanū pe apnā jo hai sar aaj raat

    vasl ik parda-nashīñ se hai na ho ġhair daḳhl

    sham.a tak aa.e na parvāne par aaj raat

    mehmāñ aap bas itnā raheñ mere ghar

    kal roz aaj din chaar pahar aaj raat

    kal na dūñgā tujhe taklīf kuchh aisī vallāh

    khol de band-e-qabā sharm na kar aaj raat

    jalva kyā ḳhuub hai mahtābī mahtābī par

    lutf-e-mai-noshī hai ai rashk-e-qamar aaj raat

    bāġh-o-mai chāñdnī aur vasl-e-parī hai mujh ko

    piite haiñ mere adū ḳhūn-e-jigar aaj raat

    gul-badan pahne haiñ vo mahram-e-kamḳhāb nahīñ

    niiñd aane mire dil meñ hai Dar aaj raat

    kis zabāñ se ho bayāñ aao gale lag jaao

    dil se dil sune kuchh dard-e-jigar aaj raat

    baḳht-e-be-dār se vo chāñd mire haath aayā

    āsmāñ tak haiñ mire dast-nigar aaj raat

    haath se zulf vo suljhā.eñ to ho jā.ūñ nihāl

    dekh luuñ naḳhl-e-tamannā ke samar aaj raat

    āshiq-e-abrū ko kyā qatl karoge nādāñ

    nannhī talvār jo hai zeb-e-kamar aaj raat

    yaar zulf-e-zar-afshāñ mujhe yaad aatī hai

    kyā siine se nikalte haiñ sharar aaj raat

    bashkan-o-bashkan miinā sadā ko sun kar

    aane paa.e na kahīñ miim basar aaj raat

    gore gāloñ se na sarkāo siyah-zulfoñ ko

    ḳhauf hai mujh ko na ho jaa.e sahar aaj raat

    āshiq-e-zulf ko do bosa-o-ḳhatt-o-abrū

    mus.haf-e-ruḳh pe likhūñ zer-o-zabar aaj raat

    raqs is zohra-jabīñ hai adū ke ghar meñ

    mehr mīzāñ meñ hai aqrab meñ qamar aaj raat

    haath vo joḌte haiñ sar hai mirā qadmoñ par

    ho na samjhāne manāne meñ sahar aaj raat

    ḳhufta-baḳhtī se ilāhī ye kahīñ so jaa.eñ

    topchī zāhid-o-murġhān-e-sahar aaj raat

    gul-e-shabbū hai lajā lo gul-e-sūdī hai gulāb

    sharm-o-ġhussa hai araq meñ vo haiñ tar aaj raat

    āsmāñ par hai dimāġh ab nahīñ milne ke 'nasīm'

    mehrbāñ un pe hai ik rashk-e-qamar aaj raat

    mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat

    aa mere chand ke TukDe mere ghar aaj ki raat

    rah bhul aaya hai ek chand idhar aaj ki raat

    kaisi ghar baiThi hai daulat mere ghar aaj ki raat

    yar aaya nahin kyun kar ho basar aaj ki raat

    ta-qayamat nahin hone ki sahar aaj ki raat

    aap se aap wo aae mere ghar aaj ki raat

    din-o-duniya ki nahin mujh ko KHabar aaj ki raat

    kyun KHafa mujh se hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat

    badli badli nazar aati hai nazar aaj ki raat

    ai sanam bahr-e-KHuda aap hi laen tashrif

    putliyon ka hai tamasha mere ghar aaj ki raat

    sadgi hai teri pariyon ki banawaT se siwa

    subh ho jaegi itna na nikhar aaj ki raat

    zulf suljhate hue pyar se wo dekhte hain

    kya main ho jaunga manzur-e-nazar aaj ki raat

    meri gustaKHi na yaad aae ilahi hargiz

    un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj ki raat

    mang moti se bhari hai na chaDho koThe par

    tum ko lag jaegi taron ki nazar aaj ki raat

    lailatul-qadr hai ye ya shab-e-mearaj hai ye

    yar ke zanu pe apna jo hai sar aaj ki raat

    wasl ek parda-nashin se hai na ho ghair ka daKHl

    shama tak aae na parwane ka par aaj ki raat

    mehman aap bas itna hi rahen mere ghar

    kal ka roz aaj ka din chaar pahar aaj ki raat

    kal na dunga tujhe taklif kuchh aisi wallah

    khol de band-e-qaba sharm na kar aaj ki raat

    jalwa kya KHub hai mahtabi ka mahtabi par

    lutf-e-mai-noshi hai ai rashk-e-qamar aaj ki raat

    bagh-o-mai chandni aur wasl-e-pari hai mujh ko

    pite hain mere adu KHun-e-jigar aaj ki raat

    gul-badan pahne hain wo mahram-e-kamKHab nahin

    nind aane ka mere dil mein hai Dar aaj ki raat

    kis zaban se ho bayan aao gale lag jao

    dil se dil hi sune kuchh dard-e-jigar aaj ki raat

    baKHt-e-be-dar se wo chand mere hath aaya

    aasman tak hain mere dast-nigar aaj ki raat

    hath se zulf wo suljhaen to ho jaun nihaal

    dekh lun naKHl-e-tamanna ke samar aaj ki raat

    aashiq-e-abru ko kya qatl karoge nadan

    nannhi talwar jo hai zeb-e-kamar aaj ki raat

    yar ki zulf-e-zar-afshan mujhe yaad aati hai

    kya hi sine se nikalte hain sharar aaj ki raat

    bashkan-o-bashkan mina ki sada ko sun kar

    aane pae na kahin mim basar aaj ki raat

    gore galon se na sarkao siyah-zulfon ko

    KHauf hai mujh ko na ho jae sahar aaj ki raat

    aashiq-e-zulf ko do bosa-o-KHatt-o-abru

    mushaf-e-ruKH pe likhun zer-o-zabar aaj ki raat

    raqs is zohra-jabin ka hai adu ke ghar mein

    mehr mizan mein hai aqrab mein qamar aaj ki raat

    hath wo joDte hain sar hai mera qadmon par

    ho na samjhane manane mein sahar aaj ki raat

    KHufta-baKHti se ilahi ye kahin so jaen

    topchi zahid-o-murghan-e-sahar aaj ki raat

    gul-e-shabbu hai laja lo gul-e-sudi hai gulab

    sharm-o-ghussa hai araq mein wo hain tar aaj ki raat

    aasman par hai dimagh ab nahin milne ke 'nasim'

    mehrban un pe hai ek rashk-e-qamar aaj ki raat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now