Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

melon mein ghumte rahe tanhai bech di

Nuzhat Abbasi

melon mein ghumte rahe tanhai bech di

Nuzhat Abbasi

MORE BYNuzhat Abbasi

    meloñ meñ ghūmte rahe tanhā.ī bech

    phir yuuñ huā ki chashm-e-tamāshā.ī bech

    saudā kabhī ḳhasāre us ne kiyā nahīñ

    shohrat ḳharīd kabhī rusvā.ī beach

    be-nām se ta.alluq-e-ḳhātir ke vāste

    ik ajnabī ke haath shanāsā.ī bech

    achchhā kiyā ki garmī-e-bāzār dekh kar

    ūñche lage jo daam to goyā.ī bech

    ab bandish-e-nigāh qīmat bahut baḌhī

    logoñ ne ke apnī bīnā.ī bech

    da.ave tumhāre ishq ke bātil hue sabhī

    paañv ke zaḳhm dasht pahnā.ī bech

    ab jāñ-ba-lab haiñ shahr ke bīmār be-shumār

    zar havas meñ sab ne masīhā.ī bech

    melon mein ghumte rahe tanhai bech di

    phir yun hua ki chashm-e-tamashai bech di

    sauda kabhi KHasare ka us ne kiya nahin

    shohrat KHarid li kabhi ruswai beach di

    be-nam se talluq-e-KHatir ke waste

    ek ajnabi ke hath shanasai bech di

    achchha kiya ki garmi-e-bazar dekh kar

    unche lage jo dam to goyai bech di

    ab bandish-e-nigah ki qimat bahut baDhi

    logon ne ja ke apni hi binai bech di

    dawe tumhaare ishq ke baatil hue sabhi

    panw ke zaKHm dasht ki pahnai bech di

    ab jaan-ba-lab hain shahr ke bimar be-shumar

    zar ki hawas mein sab ne masihai bech di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now