Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai

Jameela Khuda Bakhsh

mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    meñ āshiq huuñ mujhe maqtal meñ apnā naam karnā hai

    Daregā ḳhanjar-e-qātil se kyā vo jis ko marnā hai

    madad kar ishq-e-sādiq jazb-e-kāmil mujh se mahzūñ

    shab-e-ġham naala karnā hai aur is se guzarnā hai

    na pheñko sañg-e-ḳhārā par hifāzat chāhiye is

    ki rakh kar mir.at-e-dil rū-ba-rū tum ko sañvarnā hai

    ye jām-e-dīda-e-hasrat bharūñgā ashk-e-ḳhūnī se

    mai-e-gulgūñ tujhe pīr-e-muġhāñ sāġhar meñ bharnā hai

    Thahar bulbul-e-ġhamgīñ kahāñ tak zārī-o-shevan

    ki murġh-e-bostān-e-ishq ko bhī naala karnā hai

    sarishk-e-chashm-e-pur-nam ravānī se pareshāñ huuñ

    junūñ kyā dīda-e-hasrat hamārā koī jharnā hai

    'jamīla' saf.ha-e-mahtāb par lahrā ga.e kaale

    sitam in gesuoñ dosh par un ke bikharnā hai

    mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai

    Darega KHanjar-e-qatil se kya wo jis ko marna hai

    madad kar ishq-e-sadiq jazb-e-kaamil mujh se mahzun ki

    shab-e-gham nala karna hai aur is ji se guzarna hai

    na phenko sang-e-KHara par hifazat chahiye is ki

    ki rakh kar mirat-e-dil ru-ba-ru tum ko sanwarna hai

    ye jam-e-dida-e-hasrat bharunga ashk-e-KHuni se

    mai-e-gulgun tujhe pir-e-mughan saghar mein bharna hai

    Thahar ja bulbul-e-ghamgin kahan tak zari-o-shewan

    ki murgh-e-bostan-e-ishq ko bhi nala karna hai

    sarishk-e-chashm-e-pur-nam ki rawani se pareshan hun

    junun kya dida-e-hasrat hamara koi jharna hai

    'jamila' safha-e-mahtab par lahra gae kale

    sitam in gesuon ka dosh par un ke bikharna hai

    Source:

    Diwan-e-jamila (Pg. 346)

    • Author: Jamila Khuda Bakhsh
      • Edition: 2005
      • Publisher: Khuda Bakhsh Oriental Public Library, Patna
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now