Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera dard aur baDha gai mere aql-o-hosh pe chha gai

Salaam Najmi

mera dard aur baDha gai mere aql-o-hosh pe chha gai

Salaam Najmi

MORE BYSalaam Najmi

    merā dard aur baḌhā ga.ī mere aql-o-hosh pe chhā ga.ī

    mujhe bāvlā banā ga.ī tirī shab jab kabhī aa ga.ī

    ye jo mere dil ke qarīb hai vo habīb hai ki raqīb hai

    ye zamāne bhar se ajiib hai mire zehn meñ jo samā ga.ī

    na vo jazb-e-ishq-e-darūñ rahā na vo aql-e-sāz-e-junūñ rahā

    na vo be-ḳhudī fusūñ rahā ye ḳhudī baat jo aa ga.ī

    na vo soz hai na gudāz hai na vo naaz hai na niyāz hai

    shah-e-ġhaznavī na ayaaz hai ye jahāñ se rasm-e-vafā ga.ī

    ye shu.ūr 'najmī' ye fikr-o-fan tirī shā.irī ye bāñkpan

    ye tasavvurāt anjuman na.ī kā.enāt basā ga.ī

    mera dard aur baDha gai mere aql-o-hosh pe chha gai

    mujhe bawla sa bana gai teri shab jab kabhi aa gai

    ye jo mere dil ke qarib hai wo habib hai ki raqib hai

    ye zamane bhar se ajib hai mere zehn mein jo sama gai

    na wo jazb-e-ishq-e-darun raha na wo aql-e-saz-e-junun raha

    na wo be-KHudi ka fusun raha ye KHudi ki baat jo aa gai

    na wo soz hai na gudaz hai na wo naz hai na niyaz hai

    shah-e-ghaznawi na ayaz hai ye jahan se rasm-e-wafa gai

    ye shuur 'najmi' ye fikr-o-fan teri shairi ka ye bankpan

    ye tasawwuraat ki anjuman nai kaenat basa gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now