Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin

Uma Shankar Shadan Gwaliori

mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin

Uma Shankar Shadan Gwaliori

MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori

    merā ġham mere ḳhayālāt sab kuchh to nahīñ

    un mahfil meñ mirī baat sab kuchh to nahīñ

    umr ik shab nahīñ phir bhī mujhe hijr raat

    ye gumāñ hotā hai ye raat sab kuchh to nahīñ

    hoñ na bande to ḳhudā.ī haqīqat kyā hai

    ham bhī ik shai haiñ tirī zaat sab kuchh to nahīñ

    merī mushkil mirī duurī bhī ehsās huzūr

    aap bazm ke auqāt sab kuchh to nahīñ

    batn-e-fardā meñ bhī ta.amīr ke imkāñ haiñ bahut

    aaj sūrat-e-hālāt sab kuchh to nahīñ

    liije ab apne garebāñ ḳhabar bhī 'shādāñ'

    un ke dāman mudārāt sab kuchh to nahīñ

    mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin

    un ki mahfil mein meri baat hi sab kuchh to nahin

    umr ek shab ki nahin phir bhi mujhe hijr ki raat

    ye guman hota hai ye raat hi sab kuchh to nahin

    hon na bande to KHudai ki haqiqat kya hai

    hum bhi ek shai hain teri zat hi sab kuchh to nahin

    meri mushkil meri duri ka bhi ehsas huzur

    aap ki bazm ke auqat hi sab kuchh to nahin

    batn-e-farda mein bhi tamir ke imkan hain bahut

    aaj ki surat-e-haalat hi sab kuchh to nahin

    lije ab apne gareban ki KHabar bhi 'shadan'

    un ke daman ki mudaraat hi sab kuchh to nahin

    Source:

    Charagh-e-Rahguzar (Pg. 30)

    • Author: Uma Shankar Shadan Gwaliori
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now