aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera ek ik harf paimana meri iza ka hai

Mahshar Badayuni

mera ek ik harf paimana meri iza ka hai

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    merā ik ik harf paimāna mirī iizā hai

    tishnagī vus.ateñ haiñ ye karam dariyā hai

    ban ga.e sahrā meñ ghar lekin gharoñ meñ aaj tak

    rau vahī vahshat hai mausam vahī sahrā hai

    chāhe bik jā.ūñ chukā.ūñgā magar sab hisāb

    mujh pe qarz imroz hai mujh pe haq fardā hai

    gard-o-bād-e-dasht ehsāñ ki hai saath saath

    is safar meñ kaun mujh āvāra o tanhā hai

    jaa.e bhī koī nayā rah-rav to ab jaa.e kidhar

    be-karāñ ik sail har jānib nuqūsh-e-pā hai

    kam na thī kal bhī ufuq-tābī magar vo kal thī

    aaj ubharne vaalā sūraj aaj duniyā hai

    mera ek ek harf paimana meri iza ka hai

    tishnagi ki wusaten hain ye karam dariya ka hai

    ban gae sahra mein ghar lekin gharon mein aaj tak

    rau wahi wahshat ki hai mausam wahi sahra ka hai

    chahe bik jaun chukaunga magar sab ka hisab

    mujh pe qarz imroz ka hai mujh pe haq farda ka hai

    gard-o-baad-e-dasht ka ehsan ki hai tu sath sath

    is safar mein kaun mujh aawara o tanha ka hai

    jae bhi koi naya rah-raw to ab jae kidhar

    be-karan ek sail har jaanib nuqush-e-pa ka hai

    kam na thi kal bhi ufuq-tabi magar wo kal ki thi

    aaj ubharne wala suraj aaj ki duniya ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now