Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera mazi mere chehre se jhalakta hai zarur

Anees Sultana

mera mazi mere chehre se jhalakta hai zarur

Anees Sultana

MORE BYAnees Sultana

    merā maazī mire chehre se jhalaktā hai zarūr

    mujh ko hālāt garmī shikāyat na ġhurūr

    maslahat jaan ke kāñToñ qabā laa.e the

    gul rangīn-qabā.ī ko parakhnā thā zarūr

    kaun se bhes meñ mil jaa.eñ farishte hamdam

    ḳhidmat-e-ins-o-bashar apnā farīza hai huzūr

    vaqt ke saath badalne lagā ehsās rang

    mujh ko is baat pahle se na thā koī shu.ūr

    bārhā un ko rag-e-jāñ se qarīñ paayā hai

    phir jo dekhā to nazar aate haiñ vo aaj bhī duur

    aap be-vaj.h 'anīs' aaj pareshān na hoñ

    ab kahāñ yaad unheñ vo dil-e-sāda qusūr

    mera mazi mere chehre se jhalakta hai zarur

    mujh ko haalat ki garmi ki shikayat na ghurur

    maslahat jaan ke kanTon ki qaba lae the

    gul ki rangin-qabai ko parakhna tha zarur

    kaun se bhes mein mil jaen farishte hamdam

    KHidmat-e-ins-o-bashar apna fariza hai huzur

    waqt ke sath badalne laga ehsas ka rang

    mujh ko is baat ka pahle se na tha koi shuur

    barha un ko rag-e-jaan se qarin paya hai

    phir jo dekha to nazar aate hain wo aaj bhi dur

    aap be-wajh 'anis' aaj pareshan na hon

    ab kahan yaad unhen wo dil-e-sada ka qusur

    Source:

    Tang Na-e-Ghazl (Pg. 40)

    • Author: Anees Sultana
      • Publisher: Mohammad Saleh Ameen Khan
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now