mera us se wada tha ghar rahne ka
merā us se va.ada thā ghar rahne kā
apnī chhat ke nīche dukh-sukh sahne kā
bārish bārish kachchī qabr kā ghulnā hai
jāñ-levā ehsās akele rahne kā
ab ke aañsū āñkhoñ se dil meñ utre
ruḳh badlā dariyā ne kaisā bahne kā
hijr visāl ke saare qisse jhūTe haiñ
haq miltā hai kis ko apnā kahne kā
jagmag jagmag mere jaisī āñkhoñ meñ
ek ajiib ġhubār havelī Dhahne kā
mera us se wada tha ghar rahne ka
apni chhat ke niche dukh-sukh sahne ka
barish barish kachchi qabr ka ghulna hai
jaan-lewa ehsas akele rahne ka
ab ke aansu aankhon se dil mein utre
ruKH badla dariya ne kaisa bahne ka
hijr visal ke sare qisse jhuTe hain
haq milta hai kis ko apna kahne ka
jagmag jagmag mere jaisi aankhon mein
ek ajib ghubar haweli Dhahne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.