Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera wajud usko gawara nahin raha

Zahid Chaudhry

mera wajud usko gawara nahin raha

Zahid Chaudhry

MORE BYZahid Chaudhry

    merā vajūd us ko gavārā nahīñ rahā

    yuuñ rāh-e-zindagī meñ sahārā nahīñ rahā

    furqat meñ us sabr-o-tahammul thā ishq meñ

    vo aa gayā to zabt yaarā nahīñ rahā

    har lahza shauq-e-husn meñ ye be-qarār hai

    ab merā dil ke saath guzārā nahīñ rahā

    maiñ iztirāb-e-ishq meñ had se guzar gayā

    aisā maraz baḌhā hai ki chāra nahīñ rahā

    mahfil se maiñ uThā to ajab tabsira huā

    kahne lagā ki ab ye hamārā nahīñ rahā

    har-chand be-ruḳhī meñ vo had se guzar gayā

    kaise kahūñ ki vo mujhe pyārā nahīñ rahā

    soz-e-nihāñ aag bhaḌaktī hai is qadar

    yuuñ lag rahā hai ishq yaarā nahīñ rahā

    maiñ jal ke raakh ho gayā huuñ soz-e-ishq se

    maiñ zindagī meñ misl-e-sharārā nahīñ rahā

    jab dard-e-dil nahīñ rahā to yuuñ lagā mujhe

    goyā ki zindagī sahārā nahīñ rahā

    parvāz-e-fikr-e-nau nahīñ pahuñchī jahāñ talak

    aisā falak meñ koī sitārā nahīñ rahā

    jab maut aa ga.ī to na.ī zindagī milī

    ab bahr-e-zindagī kinārā nahīñ rahā

    mera wajud us ko gawara nahin raha

    yun rah-e-zindagi mein sahaara nahin raha

    furqat mein us ki sabr-o-tahammul tha ishq mein

    wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha

    har lahza shauq-e-husn mein ye be-qarar hai

    ab mera dil ke sath guzara nahin raha

    main iztirab-e-ishq mein had se guzar gaya

    aisa maraz baDha hai ki chaara nahin raha

    mahfil se main uTha to ajab tabsira hua

    kahne laga ki ab ye hamara nahin raha

    har-chand be-ruKHi mein wo had se guzar gaya

    kaise kahun ki wo mujhe pyara nahin raha

    soz-e-nihan ki aag bhaDakti hai is qadar

    yun lag raha hai ishq ka yara nahin raha

    main jal ke rakh ho gaya hun soz-e-ishq se

    main zindagi mein misl-e-sharara nahin raha

    jab dard-e-dil nahin raha to yun laga mujhe

    goya ki zindagi ka sahaara nahin raha

    parwaz-e-fikr-e-nau nahin pahunchi jahan talak

    aisa falak mein koi sitara nahin raha

    jab maut aa gai to nai zindagi mili

    ab bahr-e-zindagi ka kinara nahin raha

    Source:

    Junun-e-Shauq (Pg. 240)

      • Edition: 1999
      • Publisher: Mustafa Waheed
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now