Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere aasab pe chhati hi chali jati hai

Nawed fidaa sattii

mere aasab pe chhati hi chali jati hai

Nawed fidaa sattii

MORE BYNawed fidaa sattii

    mere a.asāb pe chhātī chalī jaatī hai

    koī sūrat mujhe bhātī chalī jaatī hai

    saañs dar saañs musāfir haiñ ġhubār-ālūda

    zindagī ḳhaak uḌātī chalī jaatī hai

    kaun kartā hai samā.at ke taqāze puure

    ḳhāmushī shor machātī chalī jaatī hai

    dekh ashkoñ samundar hai mire chāroñ taraf

    mauj-e-ġham mujh ko bahātī chalī jaatī hai

    tīrgī hai ki bhaTaktī hai tirī galiyoñ meñ

    raushnī raah dikhātī chalī jaatī hai

    mere sab zaḳhm haiñ naqqād mire sheroñ ke

    shā.irī hashr uThātī chalī jaatī hai

    rokne vaale mujhe rokte rahte haiñ 'fidā'

    shā.irī aage baḌhātī chalī jaatī hai

    mere aasab pe chhati hi chali jati hai

    koi surat mujhe bhati hi chali jati hai

    sans dar sans musafir hain ghubar-aluda

    zindagi KHak uDati hi chali jati hai

    kaun karta hai samaat ke taqaze pure

    KHamushi shor machati hi chali jati hai

    dekh ashkon ka samundar hai mere chaaron taraf

    mauj-e-gham mujh ko bahati hi chali jati hai

    tirgi hai ki bhaTakti hai teri galiyon mein

    raushni rah dikhati hi chali jati hai

    mere sab zaKHm hain naqqad mere sheron ke

    shairi hashr uThati hi chali jati hai

    rokne wale mujhe rokte rahte hain 'fida'

    shairi aage baDhati hi chali jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now