Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere ahwal ka afsana banaya hota

Nasim Maysori

mere ahwal ka afsana banaya hota

Nasim Maysori

MORE BYNasim Maysori

    mere ahvāl afsāna banāyā hotā

    har parī-zād ko dīvāna banāyā hotā

    jo raushan mirā kāshāna banāyā hotā

    muñh har ik sham.a se parvāna banāyā hotā

    haar to us ke gale ke na bane ashk mire

    dil ko baale durdāna banāyā hotā

    dekhī masjid banā maiñ ne ye dil maiñ sochā

    kaash is koī mai-ḳhāna banāyā hotā

    dekhte shauq se chhātī ko lagā bhī lete

    dil ko jo ā.īna-ḳhāna na banāyā hotā

    hasrat-e-bosa-e-lab kis liye jānāñ rahtī

    ḳhaak se mere jo paimāna banāyā hotā

    sar ko baazū pe mire aap jo rakh kar sote

    zulf palkoñ se shāna banāyā hotā

    chaman-e-kūcha-e-jānāñ meñ jo hotā maiñ 'nasīm'

    ġhair ko sabza-e-begāna banāyā hotā

    mere ahwal ka afsana banaya hota

    har pari-zad ko diwana banaya hota

    tu jo raushan mera kashana banaya hota

    munh har ek shama se parwana banaya hota

    haar to us ke gale ke na bane ashk mere

    dil ko baale hi ka durdana banaya hota

    dekhi masjid ki bana main ne ye dil main socha

    kash is ja koi mai-KHana banaya hota

    dekhte shauq se chhati ko laga bhi lete

    dil ko jo aaina-KHana na banaya hota

    hasrat-e-bosa-e-lab kis liye jaanan rahti

    KHak se mere jo paimana banaya hota

    sar ko bazu pe mere aap jo rakh kar sote

    zulf ka palkon hi se shana banaya hota

    chaman-e-kucha-e-jaanan mein jo hota main 'nasim'

    ghair ko sabza-e-begana banaya hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now