Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere andar hai kamra tirgi ka

Sarita Jain

mere andar hai kamra tirgi ka

Sarita Jain

MORE BYSarita Jain

    mere andar hai kamrā tīrgī

    darīcha koī khole raushnī

    samundar saath hai sadiyoñ se lekin

    vahī aalam hai merī tishnagī

    zarā laao ḳhud meñ ḳhāksārī

    asar phir dekhnā tum bandagī

    kisī din dekh kar āñkheñ tumhārī

    banā.ūñgī maiñ chehra zindagī

    mohabbat bas mohabbat bas mohabbat

    yahī ik falsafa hai zindagī

    vabā har din badal letī hai chehra

    ḳhudā jaane kyā hogā is sadī

    lage hai ġhair 'sarītā' ko duniyā

    ye jaadū hai tirī dīvāngī

    mere andar hai kamra tirgi ka

    daricha koi khole raushni ka

    samundar sath hai sadiyon se lekin

    wahi aalam hai meri tishnagi ka

    zara si lao KHud mein KHaksari

    asar phir dekhna tum bandagi ka

    kisi din dekh kar aankhen tumhaari

    banaungi main chehra zindagi ka

    mohabbat bas mohabbat bas mohabbat

    yahi ek falsafa hai zindagi ka

    waba har din badal leti hai chehra

    KHuda jaane kya hoga is sadi ka

    lage hai ghair si 'sarita' ko duniya

    ye jadu hai teri diwangi ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now