Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya

Zafar Imam

mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya

Zafar Imam

MORE BYZafar Imam

    mere andar ġhurūr andar guzartā rah gayā

    sar se paañv tak utarnā thā utartā rah gayā

    bārishoñ ne phir vahī zahmat uThā.ī der se

    ek registān hai ki phir bhī pyāsā rah gayā

    zindagī bhar aañkh se aañsū nadāmat ke gire

    aur mere dil suffā yuuñ saada rah gayā

    pahlī bārish meñ taqvā ke nishāñ sab dhul ga.e

    sar meñ ik TuuTā huā mazlūm sajda rah gayā

    kaise hogā ab ḳhudā.ī bandagī faisla

    shahr ke saare ḳhudā meñ ek banda rah gayā

    jald manzil tak pahuñchne junūñ us ko rahā

    zindagī bhar is liye rasta badaltā rah gayā

    mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya

    sar se panw tak utarna tha utarta rah gaya

    barishon ne phir wahi zahmat uThai der se

    ek registan hai ki phir bhi pyasa rah gaya

    zindagi bhar aankh se aansu nadamat ke gire

    aur mere dil ka suffa yun hi sada rah gaya

    pahli barish hi mein taqwa ke nishan sab dhul gae

    sar mein ek TuTa hua mazlum sajda rah gaya

    kaise hoga ab KHudai bandagi ka faisla

    shahr ke sare KHuda mein ek banda rah gaya

    jald manzil tak pahunchne ka junun us ko raha

    zindagi bhar is liye rasta badalta rah gaya

    Source:

    Ehsas Ki Hijrat (Pg. 31)

    • Author: Zafar Imaam
      • Edition: 2008
      • Publisher: Asri Sang e Meel Publications, Patna
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now