Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere harif hi ko sahi chahta to hai

Mazhar Imam

mere harif hi ko sahi chahta to hai

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    mere harīf ko sahī chāhtā to hai

    ab us zindagī meñ koī tīsrā to hai

    maanā guzārtā hai vo masrūf zindagī

    lekin kabhī kabhī mujhe sochtā to hai

    chhalkī huī haiñ sā.at-e-jāñ gulābiyāñ

    mahfil meñ āñsuoñ abhī rat-jagā to hai

    us ko udaas dekh ke kitnī ḳhushī huī

    merī tamām umr ġham-āshnā to hai

    nok-e-mizha pe us sitāra kabhī kabhī

    mere dhaḌakte dil tarah kāñptā to hai

    sach hai ki titliyoñ se use hai munāsibat

    kam kam barg-e-dil pe magar baiThtā to hai

    añgḌā.iyoñ se phuul aatī to hai sadā

    ḳhushbū shoḳh-o-shañg badan TūTtā to hai

    mere harif hi ko sahi chahta to hai

    ab us ki zindagi mein koi tisra to hai

    mana guzarta hai wo masruf zindagi

    lekin kabhi kabhi hi mujhe sochta to hai

    chhalki hui hain saat-e-jaan ki gulabiyan

    mahfil mein aansuon ki abhi rat-jaga to hai

    us ko udas dekh ke kitni KHushi hui

    meri tamam umr ka gham-ashna to hai

    nok-e-mizha pe us ki sitara kabhi kabhi

    mere dhaDakte dil ki tarah kanpta to hai

    sach hai ki titliyon se use hai munasibat

    kam kam hi barg-e-dil pe magar baiThta to hai

    angDaiyon se phul ki aati to hai sada

    KHushbu ka shoKH-o-shang badan TuTta to hai

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 51)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now