mere honTon pe bas ab tera nam ho
mere hoñToñ pe bas ab tirā naam ho
aur koī na duujā mujhe kaam ho
ye zarūrī nahīñ 'ishq meñ Duub kar
har koī rādhikā har koī shyām ho
bhuul jaanā nahīñ yaad rakhnā sadā
maiñ tumhārī siyā tum mire raam ho
is tarah bhī bajāo muraliyā kabhī
bas mirā bas mirā bas mirā naam ho
ek āvāz par hī chale aa.iye
mere dil ko kahīñ kuchh to ārām ho
bhuul jā.ūñ jahāñ ko tumhāre liye
'ishq meñ bas yahī merā in'ām ho
mere honTon pe bas ab tera nam ho
aur koi na duja mujhe kaam ho
ye zaruri nahin 'ishq mein Dub kar
har koi radhika har koi shyam ho
bhul jaana nahin yaad rakhna sada
main tumhaari siya tum mere ram ho
is tarah bhi bajao muraliya kabhi
bas mera bas mera bas mera nam ho
ek aawaz par hi chale aaiye
mere dil ko kahin kuchh to aaram ho
bhul jaun jahan ko tumhaare liye
'ishq mein bas yahi mera in'am ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.