Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hujre mein ajab be-raunaqi ka aks hai

Rahbar sultani

mere hujre mein ajab be-raunaqi ka aks hai

Rahbar sultani

MORE BYRahbar sultani

    mere hujre meñ ajab be-raunaqī aks hai

    maiñ huuñ mere alāva aur kisī aks hai

    aa ke qadmoñ meñ koī makrūh parchhā.īñ girī

    maiñ ne pīchhe muḌ ke dekhā aadmī aks hai

    chāñd ke chehre pe terī ki tujh pe chāñd

    faisla mushkil hai kis pe chāñdnī aks hai

    itne be-Dhab zāviye se raushnī ab ke paḌī

    zindagī samjhī ki shāyad jāñ-kanī aks hai

    in badalte mausamoñ bhed khultā nahīñ

    kis san.at hai ye kis kārīgarī aks hai

    shawl meñ lipTī huī shāmeñ gharoñ tak aa ga.iiñ

    Dhalte sūraj kyā salām-e-āḳhirī aks hai

    jo bichhaḌte vaqt mere lams meñ Thahrī rahī

    chashm-e-yāqūtī meñ us angushtarī aks hai

    mere hujre mein ajab be-raunaqi ka aks hai

    main hun ya mere alawa aur kisi ka aks hai

    aa ke qadmon mein koi makruh parchhain giri

    main ne pichhe muD ke dekha aadmi ka aks hai

    chand ke chehre pe teri ya ki tujh pe chand ki

    faisla mushkil hai kis pe chandni ka aks hai

    itne be-Dhab zawiye se raushni ab ke paDi

    zindagi samjhi ki shayad jaan-kani ka aks hai

    in badalte mausamon ka bhed khulta hi nahin

    kis ki sanat hai ye kis karigari ka aks hai

    shawl mein lipTi hui shamen gharon tak aa gain

    Dhalte suraj kya salam-e-aKHiri ka aks hai

    jo bichhaDte waqt mere lams mein Thahri rahi

    chashm-e-yaquti mein us angushtari ka aks hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now