Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere kamre mein ek aisi khiDki hai

Ziya Mazkoor

mere kamre mein ek aisi khiDki hai

Ziya Mazkoor

MORE BYZiya Mazkoor

    mere kamre meñ ik aisī khiḌkī hai

    jo in āñkhoñ ke khulne par khultī hai

    aise tevar dushman ke hote haiñ

    patā karo ye laḌkī kis beTī hai

    raat ko is jañgal meñ ruknā Thiik nahīñ

    is se aage tum logoñ marzī hai

    maiñ is shahar chāñd huuñ aur ye jāntā huuñ

    kaun laḌkī kis khiḌkī meñ baiThī hai

    jab shaam ko ghar jaa.e to paḌh lenā

    tere bistar par ik chiTThī chhoḌī hai

    us ḳhātir ghar se bāhar Thahrā huuñ

    varna ilm hai chābī gate pe rakkhī hai

    mere kamre mein ek aisi khiDki hai

    jo in aankhon ke khulne par khulti hai

    aise tewar dushman hi ke hote hain

    pata karo ye laDki kis ki beTi hai

    raat ko is jangal mein rukna Thik nahin

    is se aage tum logon ki marzi hai

    main is shahar ka chand hun aur ye jaanta hun

    kaun si laDki kis khiDki mein baiThi hai

    jab tu sham ko ghar jae to paDh lena

    tere bistar par ek chiTThi chhoDi hai

    us ki KHatir ghar se bahar Thahra hun

    warna ilm hai chabi gate pe rakkhi hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now