Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere KHush-aind-mustaqbil ka paighambar bhi tu

Sultan Rashk

mere KHush-aind-mustaqbil ka paighambar bhi tu

Sultan Rashk

MORE BYSultan Rashk

    mere ḳhush-ā.ind-mustaqbil paiġhambar bhī

    merī barbādī merī jaan pas-manzar bhī

    ki fitrat tarah hai kis tarah tasḳhīr ho

    yaar ḳhush-manzar bhī ziddī bhī ḳhud-sar bhī

    ik tazād-e-husn-e-ma.anī hai tirī ta.amīr meñ

    dastaras meñ bhī giraft-e-vaqt se bāhar bhī

    tere chehre se ayaañ us ke na milne alam

    ḳhush-nazar aatā nahīñ us shaḳhs se mil kar bhī

    mere fan saarī zebā.ish tirī nisbat se hai

    jo chhupā hai mere sheroñ meñ vo dānish-var bhī

    ruuh to pahle bhī thī ab ke badan bhī hai asiir

    ab to yuuñ lagtā hai jaise ho mirā paikar bhī

    sañg-e-mīl hai apne liye sultān-'rashk'

    apne raste meñ jo haa.il hai vo patthar bhī

    mere KHush-aind-mustaqbil ka paighambar bhi tu

    meri barbaadi ka meri jaan pas-manzar bhi tu

    tu ki fitrat ki tarah hai kis tarah tasKHir ho

    yar KHush-manzar bhi tu ziddi bhi tu KHud-sar bhi tu

    ek tazad-e-husn-e-mani hai teri tamir mein

    dastaras mein bhi giraft-e-waqt se bahar bhi tu

    tere chehre se ayan us ke na milne ka alam

    KHush-nazar aata nahin us shaKHs se mil kar bhi tu

    mere fan ki sari zebaish teri nisbat se hai

    jo chhupa hai mere sheron mein wo danish-war bhi tu

    ruh to pahle bhi thi ab ke badan bhi hai asir

    ab to yun lagta hai jaise ho mera paikar bhi tu

    tu hi sang-e-mil hai apne liye sultan-'rashk'

    apne hi raste mein jo hail hai wo patthar bhi tu

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 415)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now