Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere lab par hansi jo aai hai

Qamar Siwani

mere lab par hansi jo aai hai

Qamar Siwani

MORE BYQamar Siwani

    mere lab par hañsī jo aa.ī hai

    vo bhī apnī nahīñ parā.ī hai

    kyā bharosa kare vo phūloñ par

    jis ne ḳhushbū se choT khaa.ī hai

    maan haar us ne bādal se

    ye to sūraj jag-hañsā.ī hai

    band haiñ saarī khiḌkiyāñ ghar

    ai havā kidhar se aa.ī hai

    bijliyoñ ko sazā na de bādal

    aag to barf ne lagā.ī hai

    kyā kisī ko dikhā.e muñh tūfāñ

    maat us ne diye se khaa.ī hai

    ai zamīñ na kūdnā is meñ

    chāñd sūraj vo laḌā.ī hai

    pyaas se baat tak na us ne

    ye to dariyā kaj-adā.ī hai

    ai 'qamar' merī ek ek ġhazal

    mere taḳh.īl kamā.ī hai

    mere lab par hansi jo aai hai

    wo bhi apni nahin parai hai

    kya bharosa kare wo phulon par

    jis ne KHushbu se choT khai hai

    man li haar us ne baadal se

    ye to suraj ki jag-hansai hai

    band hain sari khiDkiyan ghar ki

    ai hawa tu kidhar se aai hai

    bijliyon ko saza na de baadal

    aag to barf ne lagai hai

    kya kisi ko dikhae munh tufan

    mat us ne diye se khai hai

    ai zamin tu na kudna is mein

    chand suraj ki wo laDai hai

    pyas se baat tak na ki us ne

    ye to dariya ki kaj-adai hai

    ai 'qamar' meri ek ek ghazal

    mere taKHil ki kamai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now