Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere rone par jo roya aadmi fahmida hai

Dagh Dehlvi

mere rone par jo roya aadmi fahmida hai

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    mere rone par jo royā aadmī fahmīda hai

    nāseh-e-āqil purānā gurg-e-bārāñ-dīda hai

    maiñ bhī to dekhūñ nikaltā hai ye tinkā kis tarah

    chārāgar aañkh meñ merā tan-e-kāhīda hai

    ne rakkhā hai raqīb-e-tursh-rū ke dil pe haath

    aaj kyoñ phīkā tirā dast-e-hinā-mālīda hai

    ḳhaak meñ us ne milāyā mujh ko maiñ ne use

    aaj maiñ huuñ aur ye merā dil-e-taftīda hai

    zahr khā kar mil ga.e haiñ ḳhaak meñ āshiq bahut

    uñgliyāñ haiñ dekh to sabza-e-roīda hai

    ḳhuub aatā hai lagā lenā nigāh-e-yār ko

    ek se an-ban huī to dūsrā girvīda hai

    bahr-e-nazzāra chalā hai kūcha-e-qātil meñ 'dāġh'

    kis balā hai kaleja kis ġhazab diida hai

    mere rone par jo roya aadmi fahmida hai

    naseh-e-aqil purana gurg-e-baran-dida hai

    main bhi to dekhun nikalta hai ye tinka kis tarah

    chaaragar ki aankh mein mera tan-e-kahida hai

    tu ne rakkha hai raqib-e-tursh-ru ke dil pe hath

    aaj kyon phika tera dast-e-hina-malida hai

    KHak mein us ne milaya mujh ko ya main ne use

    aaj main hun aur ye mera dil-e-taftida hai

    zahr kha kar mil gae hain KHak mein aashiq bahut

    ungliyan hain dekh to ya sabza-e-roida hai

    KHub aata hai laga lena nigah-e-yar ko

    ek se an-ban hui to dusra girwida hai

    bahr-e-nazzara chala hai kucha-e-qatil mein 'dagh'

    kis bala ka hai kaleja kis ghazab ka dida hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now