Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere sang-e-mazar par farhad

Meer Taqi Meer

mere sang-e-mazar par farhad

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mere sañg-e-mazār par farhād

    rakh ke tesha kahe hai ustād

    ham se bin marg kyā judā ho malāl

    jaan ke saath hai dil-e-nāshād

    muuñd āñkheñ safar adam kar

    bas hai dekhā na ālam-e-ījād

    fikr-e-tāmīr meñ na rah mun.im

    zindagānī kuchh bhī hai buniyād

    ḳhaak bhī sar pe Dālne ko nahīñ

    kis ḳharābe meñ ham hue ābād

    sunte ho Tuk suno ki phir mujh baad

    na sunoge ye naala o fariyād

    lagtī hai kuchh sumūm to nasīm

    ḳhaak kis diljale barbād

    bhūlā jaa.e hai ġham-e-butāñ meñ

    ġharaz aatā hai phir ḳhudā yaad

    tere qaid-e-qafas kyā shikva

    naale apne se apne se fariyād

    har taraf haiñ asiir ham-āvāz

    baaġh hai ghar tirā to ai sayyād

    ham ko marnā ye hai ki kab hoñ kahīñ

    apnī qaid-e-hayāt se āzād

    aisā vo shoḳh hai ki uThte sub.h

    jaanā so jaa.e us hai mo'tād

    nahīñ sūrat-pazīr naqsh us

    yuuñ tasdīq khīñche hai bahzād

    ḳhuub hai ḳhaak se buzurgoñ

    chāhnā to mire ta.iiñ imdād

    par muravvat kahāñ hai ai 'mīr'

    mujh diljale ko kar irshād

    nā-murādī ho jis pe parvāna

    vo jalātā phire charāġh-e-murād

    mere sang-e-mazar par farhad

    rakh ke tesha kahe hai ya ustad

    hum se bin marg kya juda ho malal

    jaan ke sath hai dil-e-nashad

    mund aankhen safar adam ka kar

    bas hai dekha na aalam-e-ijad

    fikr-e-tamir mein na rah munim

    zindagani ki kuchh bhi hai buniyaad

    KHak bhi sar pe Dalne ko nahin

    kis KHarabe mein hum hue aabaad

    sunte ho Tuk suno ki phir mujh baad

    na sunoge ye nala o fariyaad

    lagti hai kuchh sumum si to nasim

    KHak kis diljale ki barbaad

    bhula jae hai gham-e-butan mein ji

    gharaz aata hai phir KHuda hi yaad

    tere qaid-e-qafas ka kya shikwa

    nale apne se apne se fariyaad

    har taraf hain asir ham-awaz

    bagh hai ghar tera to ai sayyaad

    hum ko marna ye hai ki kab hon kahin

    apni qaid-e-hayat se aazad

    aisa wo shoKH hai ki uThte subh

    jaana so jae us ki hai mo'tad

    nahin surat-pazir naqsh us ka

    yun hi tasdiq khinche hai bahzad

    KHub hai KHak se buzurgon ki

    chahna to mere tain imdad

    par murawwat kahan ki hai ai 'mir'

    tu hi mujh diljale ko kar irshad

    na-muradi ho jis pe parwana

    wo jalata phire charagh-e-murad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now