Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere tere milne ka kuchh uslub nahin hai

Syed Ali Nazar

mere tere milne ka kuchh uslub nahin hai

Syed Ali Nazar

MORE BYSyed Ali Nazar

    mere tire milne kuchh uslūb nahīñ hai

    juz girya koī chāra-e-marġhūb nahīñ hai

    ro ro ke maiñ kahtā huuñ hañs hañs nahīñ suntā

    shoḳhī tirī ai yaar nipat ḳhuub nahīñ hai

    rotā rahā maiñ hañste dil le gayā merā

    ye shoḳh nipat shoḳh hai mahjūb nahīñ hai

    darbāñ mujhe kyoñ dar se nikāle hai shab-o-roz

    juz is ke koī apnā to marġhūb nahīñ hai

    yāqūt-o-guhar kuuT ke aapas meñ bhare haiñ

    vallah ki tirī chashm pur-āshob nahīñ hai

    nāseh sune kaun hikāyāt nasā.eh

    maġhz is nipat ḳhushk hai martūb nahīñ hai

    sunte the ki bad-ḳhū hai 'alī' vo but-e-kāfir

    dekhā to koī us se ḳhush-uslūb nahīñ hai

    mere tere milne ka kuchh uslub nahin hai

    juz girya koi chaara-e-marghub nahin hai

    ro ro ke main kahta hun tu hans hans nahin sunta

    shoKHi teri ai yar nipat KHub nahin hai

    rota raha main hanste hi dil le gaya mera

    ye shoKH nipat shoKH hai mahjub nahin hai

    darban mujhe kyon dar se nikale hai shab-o-roz

    juz is ke koi apna to marghub nahin hai

    yaqut-o-guhar kuT ke aapas mein bhare hain

    wallah ki teri chashm pur-ashob nahin hai

    naseh ki sune kaun hikayat nasaeh

    maghz is ka nipat KHushk hai martub nahin hai

    sunte the ki bad-KHu hai 'ali' wo but-e-kafir

    dekha to koi us se KHush-uslub nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now