Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhon ko nae KHwab dikhane wale

Heera Lal Yadav

meri aankhon ko nae KHwab dikhane wale

Heera Lal Yadav

MORE BYHeera Lal Yadav

    merī āñkhoñ ko na.e ḳhvāb dikhāne vaale

    dil meñ bhī aao nigāhoñ meñ samāne vaale

    haiñ bahut yahāñ chalte ko girāne vaale

    aadmī kam haiñ yahāñ saath nibhāne vaale

    dil meñ hai kyā ye kabhī khul ke bayāñ bhī kar do

    dekh kar mujh ko nigāhoñ ko jhukāne vaale

    jāntā huuñ maiñ haqīqat jo tire dil meñ hai

    pyaar meñ ghol mujhe zahr pilāne vaale

    māñgtī haiñ ye du'ā rab se vafā.eñ merī

    bhī taḌpe mirī chāhat ko bhulāne vaale

    kyā tujhe apnī jafāoñ ḳhabar hai kuchh bhī

    mujh pe ilzām jafāoñ lagāne vaale

    aa tire dil meñ mohabbat ujālā bhar duuñ

    dekh chehre ko mire 'iid manāne vaale

    yaad ā.eñgī tujhe jab bhī vafā.eñ merī

    bhī ro.egā mire dil ko rulāne vaale

    ab to rasman yahāñ log milā karte haiñ

    dil milāte nahīñ haath milāne vaale

    thak gayā huuñ maiñ yahāñ bojh ġhamoñ Dhote

    zindagī merī badal duniyā banāne vaale

    zindagī sukh tasallī maiñ tujhe kaise duuñ

    luuT kar le ga.e jab chain zamāne vaale

    ḳhvāb mahloñ ke nahīñ ham haiñ sajāte 'hīrā'

    ham to insān haiñ bas khāne-kamāne vaale

    meri aankhon ko nae KHwab dikhane wale

    dil mein bhi aao nigahon mein samane wale

    hain bahut hi yahan chalte ko girane wale

    aadmi kam hain yahan sath nibhane wale

    dil mein hai kya ye kabhi khul ke bayan bhi kar do

    dekh kar mujh ko nigahon ko jhukane wale

    jaanta hun main haqiqat jo tere dil mein hai

    pyar mein ghol mujhe zahr pilane wale

    mangti hain ye du'a rab se wafaen meri

    tu bhi taDpe meri chahat ko bhulane wale

    kya tujhe apni jafaon ki KHabar hai kuchh bhi

    mujh pe ilzam jafaon ka lagane wale

    aa tere dil mein mohabbat ka ujala bhar dun

    dekh chehre ko mere 'id manane wale

    yaad aaengi tujhe jab bhi wafaen meri

    tu bhi roega mere dil ko rulane wale

    ab to rasman hi yahan log mila karte hain

    dil milate hi nahin hath milane wale

    thak gaya hun main yahan bojh ghamon ka Dhote

    zindagi meri badal duniya banane wale

    zindagi sukh ki tasalli main tujhe kaise dun

    luT kar le gae jab chain zamane wale

    KHwab mahlon ke nahin hum hain sajate 'hira'

    hum to insan hain bas khane-kamane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now